abdul-karim ko bhuk bhi lagti hai
general sāhab
mere bachche kyā khā.eñge
national security council
ġhair-jānib-dār aur shaffāf ehtisāb
yā qaumī yak-jihatī council
maiñ kitnā be-shu.ūr huuñ
aap itne aziim faisle kar rahe haiñ
aur maiñ sochtā huuñ
phuTTī kī qīmat meñ kab izāfa hogā
baḌe baḌe faisle karne se pahle general sāhab
aap ko mahsūs karnā hogā
abdul-karīm ko bhuuk bhī lagtī hai
is inqalāb meñ
mujhe apne bachchoñ ke phūle peT nazar aate haiñ
jab tak aap kī nazar mujh par paḌe
maiñ kitne bachche dafnā chukā hūñgā
mere hal ko zañg lagne se pahle
agar aap kisī faisle par na pahuñche
to maiñ apne bachchoñ ko
gandum kā biij khilā chukā hūñgā
khetoñ meñ bhuuk ugegī
lekin gandum to dar-āmad kar lī jā.egī
kyā merī bhuuk ko bar-āmad nahīñ kiyā jā saktā
general sahab
mere bachche kya khaenge
national security council
ghair-jaanib-dar aur shaffaf ehtisab
ya qaumi yak-jihati council
main kitna be-shuur hun
aap itne azim faisle kar rahe hain
aur main sochta hun
phuTTi ki qimat mein kab izafa hoga
baDe baDe faisle karne se pahle general sahab
aap ko mahsus karna hoga
abdul-karim ko bhuk bhi lagti hai
is inqalab mein
mujhe apne bachchon ke phule peT nazar aate hain
jab tak aap ki nazar mujh par paDe
main kitne bachche dafna chuka hunga
mere hal ko zang lagne se pahle
agar aap kisi faisle par na pahunche
to main apne bachchon ko
gandum ka bij khila chuka hunga
kheton mein bhuk ugegi
lekin gandum to dar-amad kar li jaegi
kya meri bhuk ko bar-amad nahin kiya ja sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.