abhi barf-bari thami hai
bahut duur kyoñ bhiiḌ se maiñ khaḌā huuñ
mujhe log kyoñ der se tak rahe haiñ
mujhe kyā
dhanak-rang holī kā uḌtā gulāl
machaltā huā ruup rang
mujhe vaqt ne jaise bachpan se pahle javānī atā kī
javānī se pahle hī dil kā lahū munjamid kar diyā
vaqt ne toḌ Daale khilaune sabhī lazzat-e-shauq ke
mere ruḳhsār kī jhurriyāñ
aañkh kī kauḌiyāñ
zehn kī khiḌkiyāñ paañv kī beḌiyāñ
vaqt kī barf-bārī kā in.aam haiñ
bahut duur kyoñ bhiiḌ se maiñ khaḌā huuñ
mujhe log kyoñ der se tak rahe haiñ
bhiiḌ kyā kaun se log haiñ
mehrbānoñ kī rishtoñ kī nātoñ kī bhiiḌ
jinheñ mujh se baḌh kar tamanna hai tanḳhvāh ke cheque kī
bhiiḌ kyā kaun se log haiñ
mirī ġham-navāzī se baḌh kar jinheñ sirf coffē kā piyāla bahut hai
bhiiḌ kyā kaun sab haiñ
un hasīnāoñ kī jin ke āñchal kabhī ḳhvāb meñ bhī na bhīge
merī chaah meñ
mujhe bhiiḌ se vāsta kyā
mujhe kyā dhanak rang holī kā uḌtā gulāl
mujhe apne marqad pe hañsne kā mauqa milā
abhī barf-bārī thamī hai
zarā vaqt kī chaal maddham huī hai
bahut dur kyon bhiD se main khaDa hun
mujhe log kyon der se tak rahe hain
mujhe kya
dhanak-rang holi ka uDta gulal
machalta hua rup rang
mujhe waqt ne jaise bachpan se pahle jawani ata ki
jawani se pahle hi dil ka lahu munjamid kar diya
waqt ne toD Dale khilaune sabhi lazzat-e-shauq ke
mere ruKHsar ki jhurriyan
aankh ki kauDiyan
zehn ki khiDkiyan panw ki beDiyan
waqt ki barf-bari ka inam hain
bahut dur kyon bhiD se main khaDa hun
mujhe log kyon der se tak rahe hain
bhiD kya kaun se log hain
mehrbanon ki rishton ki naton ki bhiD
jinhen mujh se baDh kar tamanna hai tanKHwah ke cheque ki
bhiD kya kaun se log hain
meri gham-nawazi se baDh kar jinhen sirf coffee ka piyala bahut hai
bhiD kya kaun sab hain
un hasinaon ki jin ke aanchal kabhi KHwab mein bhi na bhige
meri chah mein
mujhe bhiD se wasta kya
mujhe kya dhanak rang holi ka uDta gulal
mujhe apne marqad pe hansne ka mauqa mila
abhi barf-bari thami hai
zara waqt ki chaal maddham hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.