abhi har dastan adhuri hai
abhī har dāstāñ adhūrī hai
abhī har rāsta hai nā-hamvār
ab ke har mashġhala hai nā-kāfī
is ko manzil na samajhnā ai dil
ye vo maqām hai
jis ko āġhāz-e-safar hī kahiye
ye ki anjām-e-jāñ-kushā.ī hai
ab ki chalte hī chale jaanā hai
ab ke tanhā to tum nahīñ hoge
ab ke ai dil baḌe sahāre haiñ
ham-safar āgahī juuñ ham-rāh
talḳhiyāñ talḳh tajrabāt
mash'aleñ raushan
ab ke har sang-e-mīl
tum ko sadā.eñ degā
ab ki chalnā hai tumheñ
justujū meñ manzil kī
vahī manzil ki hai
talāsh jis kī sadiyoñ se
sar-e-ādam ko
qalb-o-jāñ ko rūh-e-insāñ ko
ab ki jo chal hī paḌe ho
to ye ḳhayāl rahe
zindagī rāste badaltī hai
manzileñ aatī jaatī rahtī haiñ
ek manzil se dūsrī manzil
phir kisī dūsrī manzil kī talāsh
ye safar ḳhatm hī nahīñ hotā
zindagī ḳhatm ho to ho jaa.e
justujū ḳhatm hī nahīñ hotī
abhī har dāstāñ adhūrī hai
abhi har dastan adhuri hai
abhi har rasta hai na-hamwar
ab ke har mashghala hai na-kafi
is ko manzil na samajhna ai dil
ye wo maqam hai
jis ko aaghaz-e-safar hi kahiye
ye ki anjam-e-jaan-kushai hai
ab ki chalte hi chale jaana hai
ab ke tanha to tum nahin hoge
ab ke ai dil baDe sahaare hain
ham-safar aagahi jun ham-rah
talKHiyan talKH tajrabaat
mash'alen raushan
ab ke har sang-e-mil
tum ko sadaen dega
ab ki chalna hai tumhein
justuju mein manzil ki
wahi manzil ki hai
talash jis ki sadiyon se
sar-e-adam ko
qalb-o-jaan ko ruh-e-insan ko
ab ki jo chal hi paDe ho
to ye KHayal rahe
zindagi raste badalti hai
manzilen aati jati rahti hain
ek manzil se dusri manzil
phir kisi dusri manzil ki talash
ye safar KHatm hi nahin hota
zindagi KHatm ho to ho jae
justuju KHatm hi nahin hoti
abhi har dastan adhuri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.