abhi kuchh aur
abhī kuchh aur sāñseñ rah ga.ī haiñ
abhī kuchh aur risāloñ tak mujhe ginnā hai un ko
abhī kuchh qarz hai mujh par sabhī kā
abhī kuchh aur ḳhushiyāñ bāñTnī haiñ
abhī kuchh qahqahoñ ko naġhmagī ḳhairāt karnī hai
guhar karnā hai lafzoñ ko
zamīn-e-harf-o-ma.anī se abhī kuchh ḳhaar chunñe haiñ
ḳhayāloñ ko dhanak banñā hai shāyad
na.e ḳhvāboñ ko sūrat baḳhshnī hai
abhī zarroñ ko vus.at baḳhshnī hai
hare mausam se ḳhushbū kasb karnī hai
lahū denā hai saare zard pattoñ aur phūloñ ko
havāoñ ko subuk-gāmī sikhānī hai
añdheroñ ko sitāroñ ko abhī mash.al dikhānī hai
abhī bādal ko bārish daan denī hai
chamakte chāñd ko vīrān māthe par sajānā hai
kahīñ mehñdī kā buuTā aur kahīñ par niim ugānā hai
mire allah samajh meñ aa gayā mere
abhī kuchh aur din jiinā hai mujh ko
abhī duniyā ko hai merī zarūrat
abhi kuchh aur sansen rah gai hain
abhi kuchh aur risalon tak mujhe ginna hai un ko
abhi kuchh qarz hai mujh par sabhi ka
abhi kuchh aur KHushiyan banTni hain
abhi kuchh qahqahon ko naghmagi KHairaat karni hai
guhar karna hai lafzon ko
zamin-e-harf-o-mani se abhi kuchh KHar chunne hain
KHayalon ko dhanak banna hai shayad
nae KHwabon ko surat baKHshni hai
abhi zarron ko wusat baKHshni hai
hare mausam se KHushbu kasb karni hai
lahu dena hai sare zard patton aur phulon ko
hawaon ko subuk-gami sikhani hai
andheron ko sitaron ko abhi mashal dikhani hai
abhi baadal ko barish dan deni hai
chamakte chand ko viran mathe par sajaana hai
kahin mehndi ka buTa aur kahin par nim ugana hai
mere allah samajh mein aa gaya mere
abhi kuchh aur din jina hai mujh ko
abhi duniya ko hai meri zarurat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.