abhi kuchh aur Thahar
mujhe ye shaam bhī tujh sī hasīn lagtī hai
guzartī shaam ke sandal se āsmān pe dekh
palaT ke jaane se pahle sunahre sūraj ne
ghane daraḳht pe māthā Tikā diyā apnā
mire bhī kāñdhe pe tū sar Tikā ke baiTh zarā
kuchh aur der mire paas aa ke baiTh zarā
kuchh aur der ki sargoshiyoñ kī āvāzeñ
dhaḌakte dil kī sadā meñ samā.e jaatī haiñ
mire laboñ pe daraḳhshāñ hai tere naam kī lau
tire laboñ se laraztī sadā Dhalaktī hai
samā.atoñ meñ tire lafz ghul rahe haiñ Thahar
sukūt-e-zīst ke sab daaġh dhul rahe haiñ Thahar
zarā Thahar tirī āñkhoñ meñ saaf likkhā hai
nashāt-e-vasl pe bhārī hai dard ruḳhsat kā
ġhurūb-e-shām kā manzar hai aur tirī āñkheñ
zarā ḳhumār meñ bahkī haiñ kuchh thakān se chuur
tirī nazar hai ki goyā nigāh-e-sāqī hai
abhī na jā mujhe mad.hosh honā baaqī hai
zarā sī der meñ ye shaam lauT jā.egī
tujhe bhī ghar kī pareshāniyāñ bulā leñgī
mujhe bhī shahr kī galiyoñ kī ḳhaak chhānñī hai
par is se pahle zarā der ruk tujhe chhū luuñ
maiñ apnī nazroñ se hāthoñ kā kaam luuñ ruk jā
maiñ tere aks ko āñkhoñ meñ thaam luuñ ruk jā
mujhe ye sham bhi tujh si hasin lagti hai
guzarti sham ke sandal se aasman pe dekh
palaT ke jaane se pahle sunahre suraj ne
ghane daraKHt pe matha Tika diya apna
mere bhi kandhe pe tu sar Tika ke baiTh zara
kuchh aur der mere pas aa ke baiTh zara
kuchh aur der ki sargoshiyon ki aawazen
dhaDakte dil ki sada mein samae jati hain
mere labon pe daraKHshan hai tere nam ki lau
tere labon se larazti sada Dhalakti hai
samaaton mein tere lafz ghul rahe hain Thahar
sukut-e-zist ke sab dagh dhul rahe hain Thahar
zara Thahar teri aankhon mein saf likkha hai
nashat-e-wasl pe bhaari hai dard ruKHsat ka
ghurub-e-sham ka manzar hai aur teri aankhen
zara KHumar mein bahki hain kuchh thakan se chur
teri nazar hai ki goya nigah-e-saqi hai
abhi na ja mujhe madhosh hona baqi hai
zara si der mein ye sham lauT jaegi
tujhe bhi ghar ki pareshaniyan bula lengi
mujhe bhi shahr ki galiyon ki KHak chhanni hai
par is se pahle zara der ruk tujhe chhu lun
main apni nazron se hathon ka kaam lun ruk ja
main tere aks ko aankhon mein tham lun ruk ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.