abhi kuchh der ruk jate
Interesting Fact
(بیاد ِ رفتگاں)
abhī kuchh der ruk jaate
abhī kuchh kaam baaqī the
abhī tasvīr ko kuchh aur rangoñ kī zarūrat thī
abhī kāñToñ bhare rastoñ ko phūloñ kī zarūrat thī
abhī kuchh naqsh aise the jo yaksar nā-mukammal the
jahāñ bāġhoñ kā sochā thā vahāñ be-kār jangal the
bahut se ḳhvāb the jin kī abhī tā'bīr baaqī thī
abhī is shahr-e-be-ehsās kī tā'mīr baaqī thī
jo sach pūchho abhī insāf kī tahrīr baaqī thī
abhī kuchh zālimoñ ke zulm kī tā'zīr baaqī thī
abhī kuchh masjidoñ ke gumbadoñ ko sabz honā thā
jo firqa-sāz mimbar the unheñ zamzam se dhonā thā
abhī to ham ne nafrat ke sabhī mā'bad jalāne the
abhī ham ne mohabbat ke ka.ī parcham banāne the
abhī to qā.id-o-iqbāl ke bhī din manāne the
abhī to ham ne apne saare bām-o-dar sajāne the
abhī to mausamoñ ne bhī hameñ naġhme sunāne the
abhī rohī meñ bārish ne ka.ī chashme bahāne the
abhī sahrā-nashīñ bachchoñ kī ḳhushiyāñ rāste meñ thiiñ
abhī to ham ne cholistān meñ jhūle lagāne the
abhī kuchh der ruk jaate
abhī kuchh kaam baaqī the
abhī ham ne dar-o-dīvār kī hālat badalnī thī
abhī patjhaḌ-zada ashjār kī sūrat badalnī thī
abhī jo hukm dete the unheñ mahkūm honā thā
abhī jo zulm dhāte the unheñ mazlūm honā thā
abhī kuchh badshahoñ kī bādshāhī ḳhatm honī thī
abhī un bastiyoñ kī be-nigāhī ḳhatm honī thī
abhī to shahr meñ mere ka.ī tārīk raste the
abhī sahme hue schōl ke bachchoñ ke baste the
abhī to amn kī ham ne ka.ī sham'eñ jalānī thiiñ
abhī kuchh der ruk jaate
ki jab aisā añdherā ho
diye ko alvidā' kahnā
bahut taklīf detā hai
abhi kuchh der ruk jate
abhi kuchh kaam baqi the
abhi taswir ko kuchh aur rangon ki zarurat thi
abhi kanTon bhare raston ko phulon ki zarurat thi
abhi kuchh naqsh aise the jo yaksar na-mukammal the
jahan baghon ka socha tha wahan be-kar jangal the
bahut se KHwab the jin ki abhi ta'bir baqi thi
abhi is shahr-e-be-ehsas ki ta'mir baqi thi
jo sach puchho abhi insaf ki tahrir baqi thi
abhi kuchh zalimon ke zulm ki ta'zir baqi thi
abhi kuchh masjidon ke gumbadon ko sabz hona tha
jo firqa-saz mimbar the unhen zamzam se dhona tha
abhi to hum ne nafrat ke sabhi ma'bad jalane the
abhi hum ne mohabbat ke kai parcham banane the
abhi to qaid-o-iqbaal ke bhi din manane the
abhi to hum ne apne sare baam-o-dar sajaane the
abhi to mausamon ne bhi hamein naghme sunane the
abhi rohi mein barish ne kai chashme bahane the
abhi sahra-nashin bachchon ki KHushiyan raste mein thin
abhi to hum ne cholistan mein jhule lagane the
abhi kuchh der ruk jate
abhi kuchh kaam baqi the
abhi hum ne dar-o-diwar ki haalat badalni thi
abhi patjhaD-zada ashjar ki surat badalni thi
abhi jo hukm dete the unhen mahkum hona tha
abhi jo zulm dhate the unhen mazlum hona tha
abhi kuchh badshahon ki baadshahi KHatm honi thi
abhi un bastiyon ki be-nigahi KHatm honi thi
abhi to shahr mein mere kai tarik raste the
abhi sahme hue school ke bachchon ke baste the
abhi to amn ki hum ne kai sham'en jalani thin
abhi kuchh der ruk jate
ki jab aisa andhera ho
diye ko alwida' kahna
bahut taklif deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.