abhi kuchh kaam baqi hain
abhī Thahro
abhī kuchh kaam baaqī haiñ
zarā ye kaam nimTā leñ to chalte haiñ
abhī to nā-mukammal nazm kā ik āḳhirī misra kitāb-e-hijr meñ tahrīr karnā hai
ḳhas-o-ḳhāshāk-e-ġham aslāf meñ taqsīm ho jaa.eñ to sar se bojh utre
qarz kā jaama pahan kar ik na.e raste pe jaanā kab munāsib hai
abhī Thahro
abhī ham ko jazīre meñ havā ke sabz jhoñkoñ se shajar kī baat karnā hai
saveroñ kī imāmat karne vaalī zau nigāhoñ meñ pirone tak Thahar jaao
añdheroñ meñ kisī lau ke binā lambā safar āġhāz karnā kab munāsib hai
abhī Thahro
hujūm-e-dil-barāñ ādāb-e-girya se nahīñ vāqif
dar-o-dīvār-e-hasrat meñ zarā sī bhiiḌ lag jaa.e to chalte haiñ
ḳhabar bhejo
ki yuuñ chup-chāp mayyat kī tarah ghar se nikalnā kab munāsib hai
zarā Thahro
abhī kuchh kaam baaqī haiñ
zarā ye kaam nimTā leñ to chalte haiñ
abhi Thahro
abhi kuchh kaam baqi hain
zara ye kaam nimTa len to chalte hain
abhi to na-mukammal nazm ka ek aaKHiri misra kitab-e-hijr mein tahrir karna hai
KHas-o-KHashak-e-gham aslaf mein taqsim ho jaen to sar se bojh utre
qarz ka jama pahan kar ek nae raste pe jaana kab munasib hai
abhi Thahro
abhi hum ko jazire mein hawa ke sabz jhonkon se shajar ki baat karna hai
saweron ki imamat karne wali zau nigahon mein pirone tak Thahar jao
andheron mein kisi lau ke bina lamba safar aaghaz karna kab munasib hai
abhi Thahro
hujum-e-dil-baran aadab-e-girya se nahin waqif
dar-o-diwar-e-hasrat mein zara si bhiD lag jae to chalte hain
KHabar bhejo
ki yun chup-chap mayyat ki tarah ghar se nikalna kab munasib hai
zara Thahro
abhi kuchh kaam baqi hain
zara ye kaam nimTa len to chalte hain
- Book : Ibaraten (Pg. 203)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.