abhi mausam nahin aaya
abhī tak mausam-e-gul lauT kar aayā nahīñ
kuchh der baaqī hai
abhī is dard kī chhāñv meñ sāñsoñ ko ravāñ rakhne kā hiila
DhūñDhnā hai
paañv meñ miTTī ke juute haath meñ kashkol-e-jāñ
sar par kulāh-e-ġham
qabā-e-gard meñ lipTe badan dīvār-e-girya se
lagā kar baiThnā hai aur
is mausam kā rasta dekhnā hai jis kī ḳhātir
ham ne apnī ḳhaak ke zarroñ se
apne ghar banā.e the
abhī kuchh der baaqī hai
abhī galiyoñ makānoñ kī chhatoñ par DevḌhiyoñ meñ ḳhāmushī
ḳhanjar-ba-kaf pahre pe faa.ez hai
yahāñ is qarya-e-ibrat meñ ik qasr-e-buland-o-pur-hashm hai
jis ke farsh-e-nīlmīñ par ek
amboh ġhulāmāñ saf-ba-saf ḳhālī suroñ ko apne
siine par jhukā.e
haath bāñdhe
apne aaqā se vafādārī kā dam bhartā hai
hājat-mand masā.il kī tarah be-vazan
lahje meñ suḳhan kartā hai jiitā hai na martā hai
zarā dekho
zarā is qarya-e-ibrat ke qasr-e-pur-hashm se us taraf dekho
havā mahbūs hai barg-o-samar se ḳhālī peḌoñ kī
barahna Tahniyoñ ke saath girheñ Daal kar bāñdhī
ga.ī hai aur
zamistāñ kī sunahrī dhuup TukḌe TukḌe
kar ke shahr kī ūñchī chhatoñ par chiil kavvoñ ke liye Daalī ga.ī hai
ātish-e-gul se charāġh-e-shām tak jo kuchh dil
ushshāq ko virse meñ miltā hai
asīrān-e-furāt-o-shām ke mānind
zanjīr-o-salāsil meñ piro kar sāhab-e-qasr-e-hasaham ke sāmne laayā gayā hai
pahra-vāroñ ne darīche
khiḌkiyāñ aur bhārī darvāze muqaffal kar diye haiñ
aur mausam un darīchoñ
khiḌkiyoñ aur bhārī darvāzoñ se bāhar sākit-o-jāmid khaḌā hai
bāzyābī kī ijāzat chāhtā hai
mātamī rañgoñ meñ Duubā dard kā mausam huzūr-e-shāh se
apne tan-e-nāzuk pe barg-e-gul sajāne kī himāyat chāhtā hai
beḌiyāñ pahne hue lab-basta-o-sākin havā ke paañv meñ
ḳhushbū kī paa.el bāñdhne aur phir use āzād karne
kī sa.ādat chāhtā hai
lekin
ai kār-e-junūñ
kār-e-numū āġhāz hone meñ abhī kuchh der baaqī hai
abhi tak mausam-e-gul lauT kar aaya nahin
kuchh der baqi hai
abhi is dard ki chhanw mein sanson ko rawan rakhne ka hila
DhunDhna hai
panw mein miTTi ke jute hath mein kashkol-e-jaan
sar par kulah-e-gham
qaba-e-gard mein lipTe badan diwar-e-girya se
laga kar baiThna hai aur
is mausam ka rasta dekhna hai jis ki KHatir
hum ne apni KHak ke zarron se
apne ghar banae the
abhi kuchh der baqi hai
abhi galiyon makanon ki chhaton par DewDhiyon mein KHamushi
KHanjar-ba-kaf pahre pe faez hai
yahan is qarya-e-ibrat mein ek qasr-e-buland-o-pur-hashm hai
jis ke farsh-e-nilmin par ek
amboh ghulaman saf-ba-saf KHali suron ko apne
sine par jhukae
hath bandhe
apne aaqa se wafadari ka dam bharta hai
hajat-mand masail ki tarah be-wazan
lahje mein suKHan karta hai jita hai na marta hai
zara dekho
zara is qarya-e-ibrat ke qasr-e-pur-hashm se us taraf dekho
hawa mahbus hai barg-o-samar se KHali peDon ki
barahna Tahniyon ke sath girhen Dal kar bandhi
gai hai aur
zamistan ki sunahri dhup TukDe TukDe
kar ke shahr ki unchi chhaton par chil kawwon ke liye Dali gai hai
aatish-e-gul se charagh-e-sham tak jo kuchh dil
ushshaq ko wirse mein milta hai
asiran-e-furaat-o-sham ke manind
zanjir-o-salasil mein piro kar sahab-e-qasr-e-hasaham ke samne laya gaya hai
pahra-waron ne dariche
khiDkiyan aur bhaari darwaze muqaffal kar diye hain
aur mausam un darichon
khiDkiyon aur bhaari darwazon se bahar sakit-o-jamid khaDa hai
bazyabi ki ijazat chahta hai
matami rangon mein Duba dard ka mausam huzur-e-shah se
apne tan-e-nazuk pe barg-e-gul sajaane ki himayat chahta hai
beDiyan pahne hue lab-basta-o-sakin hawa ke panw mein
KHushbu ki pael bandhne aur phir use aazad karne
ki saadat chahta hai
lekin
ai kar-e-junun
kar-e-numu aaghaz hone mein abhi kuchh der baqi hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 484)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.