abhi naKHl-e-ummid sarsabz hai
kāñch ke ḳhvāb jaisī vādiyāñ
thartharā.ī huī daf.atan
maut kī vādiyoñ meñ badaltī ga.iiñ
kuchh nahīñ bach sakā
zaḳhm hī zaḳhm haiñ ḳhuun hī ḳhuun hai
sang-o-āhan ḳhas-o-ḳhāk ke Dher meñ
zindagī niim madfūn hai
koī chāra nahīñ raah masdūd hai
haañ magar
bebasī ke añdheroñ se laḌtī huī
ek nannhī kiran
āñsūoñ kī laḌī meñ chamaktī huī
jhilmilātī huī
ab bhī maujūd hai
dil khañDar ho gayā
phir bhī ummīd kī lau nahīñ bujh sakī
ḳhūn-āshām panjoñ meñ
jakḌe hue jism par
dhīre dhīre lahū chūstī
maut ġhālib nahīñ aa sakī
saañs lene pe isrār kartī huī
sūkhte peḌ kī ek Tahnī
abhī sabz hai
kanch ke KHwab jaisi wadiyan
thartharai hui dafatan
maut ki wadiyon mein badalti gain
kuchh nahin bach saka
zaKHm hi zaKHm hain KHun hi KHun hai
sang-o-ahan KHas-o-KHak ke Dher mein
zindagi nim madfun hai
koi chaara nahin rah masdud hai
han magar
bebasi ke andheron se laDti hui
ek nannhi kiran
aansuon ki laDi mein chamakti hui
jhilmilati hui
ab bhi maujud hai
dil khanDar ho gaya
phir bhi ummid ki lau nahin bujh saki
KHun-asham panjon mein
jakDe hue jism par
dhire dhire lahu chusti
maut ghaalib nahin aa saki
sans lene pe israr karti hui
sukhte peD ki ek Tahni
abhi sabz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.