abhi waqt hai lauT jao
suno kasrat-e-ḳhāk meñ basne vaalo
suno tausan-e-barq-raftār par kaThiyāñ kasne vaalo
ye phir kaun se ma.arke kā irāda
tumhārī nasoñ meñ ye kis ḳhvāb-e-fāteh kā phir bāb-e-vahshat khulā hai
fasīloñ pe ik parcham-e-ḳhūñ-chakāñ gaaḌ dene kī niyyat
ka.ī laakh maftūh jismoñ ko phir hālat-e-sīna-kūbī meñ rote hue dekhne kī tamannā
ye kis āb-e-dīvāngī se badan kā subū bhar rahe ho
suno tum baḌī bad-numā raat kī dhund meñ faisla kar rahe ho
udhar saiñkaḌoñ kos par ik pahāḌī hai jis par koī shai nahīñ hai
vahāñ har taraf se tumheñ aag ke ġhol ghere meñ lene kī ḳhātir khaḌe haiñ
abhī vaqt hai luuT jaao
suno ujlat-e-fikr meñ koī bhī kaam anjām paatā nahīñ
phir kisī sā.at-e-shab-girafta meñ koī sitārā bulātā nahīñ
suno kasrat-e-KHak mein basne walo
suno tausan-e-barq-raftar par kaThiyan kasne walo
ye phir kaun se marke ka irada
tumhaari nason mein ye kis KHwab-e-fateh ka phir bab-e-wahshat khula hai
fasilon pe ek parcham-e-KHun-chakan gaD dene ki niyyat
kai lakh maftuh jismon ko phir haalat-e-sina-kubi mein rote hue dekhne ki tamanna
ye kis aab-e-diwangi se badan ka subu bhar rahe ho
suno tum baDi bad-numa raat ki dhund mein faisla kar rahe ho
udhar sainkaDon kos par ek pahaDi hai jis par koi shai nahin hai
wahan har taraf se tumhein aag ke ghol ghere mein lene ki KHatir khaDe hain
abhi waqt hai luT jao
suno ujlat-e-fikr mein koi bhi kaam anjam pata nahin
phir kisi saat-e-shab-girafta mein koi sitara bulata nahin
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 122)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.