abhi wo ek din ka bhi nahin
abhī vo ek din kā bhī nahīñ
bhaTTī se miTTī kī nasl aag kā naam pūchhtī aur
giilī chhāñv tale so na na jaatī to qaidī qaidī na jante kaliyāñ khultīñ yā mausam rahā hote yā kuchh aur
hotā magar yuuñ huā ki is ke mere darmiyāñ ik pal TuuT gayā
us ke mere darmiyāñ ek titlī bhaḌaktī phirtī hai
us ke mere darmiyāñ ik raah musāfir hai
us ke mere darmiyāñ bahut se lafz TuuTe hue pyāloñ ke kuñDoñ kī tarah
ek dūsre meñ aTke hue haiñ
so maiñ ne aaj kā din bhī zaa.e.a hone ke liye dīvār par Daal diyā
chuñdhyā.ī huī chiḌiyā dar par kavvā kis ke mazār kī miTTī liye
mere āñgan meñ dhuup dhone aa niklī hai
uḌne meñ kuchh der lagegī
par giile haiñ chhateñ ūñchī haiñ darmiyāñ meñ dhuāñ
dhuup sameT aur bikher rahā hai
aao mujhe rihā karo mere paroñ se giilī miTTī chimTī huī hai
mujhe uḌne kā izn do ki maiñ ne so rahne kā gunāh kiyā
sūraj kamāne ab chhāñv na hone denā
maiñ ne marā huā jhuuT janā mujhe aur sone na denā ki abhī mujhe sach bolnā hai
abhi wo ek din ka bhi nahin
bhaTTi se miTTi ki nasl aag ka nam puchhti aur
gili chhanw tale so na na jati to qaidi qaidi na jante kaliyan khultin ya mausam raha hote ya kuchh aur
hota magar yun hua ki is ke mere darmiyan ek pal TuT gaya
us ke mere darmiyan ek titli bhaDakti phirti hai
us ke mere darmiyan ek rah musafir hai
us ke mere darmiyan bahut se lafz TuTe hue pyalon ke kunDon ki tarah
ek dusre mein aTke hue hain
so main ne aaj ka din bhi zaea hone ke liye diwar par Dal diya
chundhyai hui chiDiya dar par kawwa kis ke mazar ki miTTi liye
mere aangan mein dhup dhone aa nikli hai
uDne mein kuchh der lagegi
par gile hain chhaten unchi hain darmiyan mein dhuan
dhup sameT aur bikher raha hai
aao mujhe riha karo mere paron se gili miTTi chimTi hui hai
mujhe uDne ka izn do ki main ne so rahne ka gunah kiya
suraj kamane ab chhanw na hone dena
main ne mara hua jhuT jana mujhe aur sone na dena ki abhi mujhe sach bolna hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 238)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.