abjad
nazm kī taḳhtī pe ġhazal ke hijje
panjoñ pe gājnī ke bilakte bilakte
rishtoñ kī abjad pe hirāsāñ khaḌe the
lamhoñ kī rasoī meñ harfoñ kī hañDiyā
ahd-e-nazār se juḌ ga.ī
na ġhazal kī taḳhtī
na nazm ke hijje bas abjad thī
ki rishtoñ kī jadval meñ
paḌī paḌī harfoñ kī shanāḳht bhuul ga.ī
nazm ki taKHti pe ghazal ke hijje
panjon pe gajni ke bilakte bilakte
rishton ki abjad pe hirasan khaDe the
lamhon ki rasoi mein harfon ki hanDiya
ahd-e-nazar se juD gai
na ghazal ki taKHti
na nazm ke hijje bas abjad thi
ki rishton ki jadwal mein
paDi paDi harfon ki shanaKHt bhul gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.