abortion
shāyad tumhāre
aane kā ābhās
sab ko ho chukā thā
tumhāre vajūd kī aahaT
pahchān lī ga.ī thī
ghar meñ phusphusāte hue log
ye bhuul baiThe the
ki jis se ye paidā hue haiñ
vo kokh hī ek kokh meñ
pal rahī hai
kal phir mujhe aspatāl le jaayā jā.egā
kal ek aur zindagī
khiskā dī jā.egī usī rāste
ūtkoñ kī ek uljhī huī uljhan
añgoñ ke kaliyoñ kā
ek TuuTā guldasta
pheñk diyā jā.egā dustbin meñ
narsanhāroñ ke āñkḌe
to bahut kam ho ga.e
par ye aspatāl safed maqbare haiñ
ahañkār aur udāsīntā kā
surgical mask pahne hue
glavs aur gown meñ
ghūmte hue karghe
mujhe anesthesia deñge
phir kareñge merā abortion
shayad tumhaare
aane ka aabhas
sab ko ho chuka tha
tumhaare wajud ki aahaT
pahchan li gai thi
ghar mein phusphusate hue log
ye bhul baiThe the
ki jis se ye paida hue hain
wo kokh hi ek kokh mein
pal rahi hai
kal phir mujhe aspatal le jaya jaega
kal ek aur zindagi
khiska di jaegi usi raste
utkon ki ek uljhi hui uljhan
angon ke kaliyon ka
ek TuTa guldasta
phenk diya jaega dustbin mein
narsanhaaron ke aankDe
to bahut kam ho gae
par ye aspatal safed maqbare hain
ahankar aur udasinta ka
surgical mask pahne hue
glaws aur gown mein
ghumte hue karghe
mujhe anesthesia denge
phir karenge mera abortion
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.