abr-o-baad
ye bādaloñ kā tanaffus ye sard sard havā
ye sansanātī havā.eñ ye bolte hue saaz
kise ḳhabar thī ki tujh ko pukārte ai dost
inhī fazāoñ meñ kho jā.egī mirī āvāz
kise ḳhabar thī ki is rang-o-bū ke tūfāñ meñ
gul-o-saman ke safīne bhī Duub jā.eñge
thapak ke jin ko sulā.egī rāt-bhar shabnam
vo ġhunche sub.h kī lau se bhī kapkapā.eñge
tujhe bhī yaad hai in badliyoñ ke saa.e meñ
tirī nigāh se TuuTe haiñ kitne paimāne
magar ye kaun uThā aaj terī mahfil se
sulag rahe haiñ charāġhoñ se duur parvāne
samajh sake to samajh kitnī zulmatoñ ke huzūr
kiyā gayā hai mah-o-āftāb se inkār
liyā hai kitne bahishtoñ se intiqām na pūchh
guloñ ke daam ḳharīde haiñ kitne barq-o-sharār
kahā hai kitnī nigāhoñ ne fī-amānillāh
hue haiñ sākit-o-mabhūt kitne bām-o-dar
uThe haiñ bahr-e-duā kitne kāñpte hue haath
kis ehtimām se bāñdhā gayā hai raḳht-e-safar
karāhte rahe raahī pukārte rahe ḳhizr
Thahar sakā na magar kārvān-e-najm-o-qamar
zamīñ pe ādam-o-havvā ke ḳhuun kā mātam
magar ufuq kī jabīñ par vahī hai nūr-e-sahar
kise ḳhabar mirī ġhurbat mujhe kahāñ le jaa.e
tirā dayār mire rāste meñ aa.e na aa.e
mirī nigāh meñ raqsāñ haiñ saiñkaḌoñ tūfāñ
magar ḳhudā na kare koī mauj tujh ko jagā.e
ġhamoñ kī dhuup se rakkhe tujhe ḳhudā mahfūz
ġhubār-e-vaqt se mailā tirā shabāb na ho
kisī malāl kī be-najm-o-māh rātoñ meñ
ġhurūb terī javānī kā āftāb na ho
ye baadalon ka tanaffus ye sard sard hawa
ye sansanati hawaen ye bolte hue saz
kise KHabar thi ki tujh ko pukarte ai dost
inhi fazaon mein kho jaegi meri aawaz
kise KHabar thi ki is rang-o-bu ke tufan mein
gul-o-saman ke safine bhi Dub jaenge
thapak ke jin ko sulaegi raat-bhar shabnam
wo ghunche subh ki lau se bhi kapkapaenge
tujhe bhi yaad hai in badliyon ke sae mein
teri nigah se TuTe hain kitne paimane
magar ye kaun uTha aaj teri mahfil se
sulag rahe hain charaghon se dur parwane
samajh sake to samajh kitni zulmaton ke huzur
kiya gaya hai mah-o-aftab se inkar
liya hai kitne bahishton se intiqam na puchh
gulon ke dam KHaride hain kitne barq-o-sharar
kaha hai kitni nigahon ne fi-amanillah
hue hain sakit-o-mabhut kitne baam-o-dar
uThe hain bahr-e-dua kitne kanpte hue hath
kis ehtimam se bandha gaya hai raKHt-e-safar
karahte rahe rahi pukarte rahe KHizr
Thahar saka na magar karwan-e-najm-o-qamar
zamin pe aadam-o-hawwa ke KHun ka matam
magar ufuq ki jabin par wahi hai nur-e-sahar
kise KHabar meri ghurbat mujhe kahan le jae
tera dayar mere raste mein aae na aae
meri nigah mein raqsan hain sainkaDon tufan
magar KHuda na kare koi mauj tujh ko jagae
ghamon ki dhup se rakkhe tujhe KHuda mahfuz
ghubar-e-waqt se maila tera shabab na ho
kisi malal ki be-najm-o-mah raaton mein
ghurub teri jawani ka aaftab na ho
- Book : NUQOOSH (Yearly) (Pg. 173)
- Author : Mohd. Fufail
- Publication : Idarah-e-Farogh-e-urdu, Lahore (Jan. Feb. 1957,Issue 61,62)
- Edition : Jan. Feb. 1957,Issue 61,62
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.