abstract art
abstract art kī dekhī thī numā.ish maiñ ne
kī thī az-rāh-e-muravvat bhī satā.ish maiñ ne
aaj tak donoñ gunāhoñ kī sazā paatā huuñ
log kahte haiñ ki kyā dekhā to sharmātā huuñ
sirf kah saktā huuñ itnā hī vo tasvīreñ thiiñ
yaar kī zulf ko suljhāne kī tadbīreñ thiiñ
ek tasvīr ko dekhā jo kamāl-e-fan thī
bhaiñs ke jism par ik uuñT kī sī gardan thī
Taañg khīñchī thī ki misvāk jise kahte haiñ
naak vo naak ḳhatarnāk jise kahte haiñ
naqsh-e-mahbūb musavvir ne sajā rakkhā thā
mujh se pūchho to tipā.ī pe ghaḌā rakkhā thā
bolī tasvīr jo maiñ ne use ulTā palTā
maiñ vo jaama huuñ ki jis kā nahīñ sīdhā ulTā
us ko naqqād to ik chashma-e-haivāñ samjhā
maiñ use hazrat-e-majnūñ kā garebāñ samjhā
ek tasvīr ko dekhā ki ye kyā rakkhā hai
varaq-e-sāf pe rañgoñ ko girā rakkhā hai
āḌī-tirchhī sī lakīreñ thiiñ vahāñ jalva-figan
jaise TuuTe hue ā.īne pe sūraj kī kiran
thā kiub-izm maiñ kāġhaz pe jo ik rashk-e-qamar
mujh ko īñTeñ nazar aatī thiiñ ise husn-e-bashar
bolā naqqād nazar aate yahī kuchh ham tum!
ḳhuld meñ hazrat-e-ādam jo na khāte gandum
abstract art ke malbe se ye daulat niklī
jis ko samjhā thā anannās vo aurat niklī
abstract art kī is chiiz pe dekhī hai asaas
''tan kī uryānī se behtar nahīñ duniyā meñ libās''
is numā.ish meñ jo atfāl chale aate the
Dar ke maaoñ ke kalejoñ se lipaT jaate the
abstract art ki dekhi thi numaish main ne
ki thi az-rah-e-murawwat bhi sataish main ne
aaj tak donon gunahon ki saza pata hun
log kahte hain ki kya dekha to sharmata hun
sirf kah sakta hun itna hi wo taswiren thin
yar ki zulf ko suljhane ki tadbiren thin
ek taswir ko dekha jo kamal-e-fan thi
bhains ke jism par ek unT ki si gardan thi
Tang khinchi thi ki miswak jise kahte hain
nak wo nak KHatarnak jise kahte hain
naqsh-e-mahbub musawwir ne saja rakkha tha
mujh se puchho to tipai pe ghaDa rakkha tha
boli taswir jo main ne use ulTa palTa
main wo jama hun ki jis ka nahin sidha ulTa
us ko naqqad to ek chashma-e-haiwan samjha
main use hazrat-e-majnun ka gareban samjha
ek taswir ko dekha ki ye kya rakkha hai
waraq-e-saf pe rangon ko gira rakkha hai
aaDi-tirchhi si lakiren thin wahan jalwa-figan
jaise TuTe hue aaine pe suraj ki kiran
tha kiub-izm main kaghaz pe jo ek rashk-e-qamar
mujh ko inTen nazar aati thin ise husn-e-bashar
bola naqqad nazar aate yahi kuchh hum tum!
KHuld mein hazrat-e-adam jo na khate gandum
abstract art ke malbe se ye daulat nikli
jis ko samjha tha anannas wo aurat nikli
abstract art ki is chiz pe dekhi hai asas
tan ki uryani se behtar nahin duniya mein libas
is numaish mein jo atfal chale aate the
Dar ke maon ke kalejon se lipaT jate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.