abul-haul
jahān-e-reg ke ḳhvāb-e-girāñ se aaj to jaag
hazāroñ qāfile aate rahe guzarte rahe
koī jagā na sakā tujh ko tujh se kaun kahe
vo ziist maut hai jis meñ koī lagan ho na laag
taḌap uThe tire hoñToñ pe kaash ab koī raag
jo tere dīda-e-sañgīñ se dard ban ke bahe
ye terī tīra-shabī bijliyoñ ke naaz sahe
yūñhī sulagtī rahe tere dil meñ ziist kī aag
magar nahīñ, tū agar merā rāz-dāñ hotā
tire laboñ pe dahak uThtī koī pyaar kī baat
to aaj dahr ke siine pe tū kahāñ hotā
tire sukūñ ko kabhī chhū sakā na vaqt kā haat
ḳhud apnī aag hī meñ jal-bujhī hai merī hayāt
vagarna terī tarah maiñ bhī jāvedāñ hotā
jahan-e-reg ke KHwab-e-giran se aaj to jag
hazaron qafile aate rahe guzarte rahe
koi jaga na saka tujh ko tujh se kaun kahe
wo zist maut hai jis mein koi lagan ho na lag
taDap uThe tere honTon pe kash ab koi rag
jo tere dida-e-sangin se dard ban ke bahe
ye teri tira-shabi bijliyon ke naz sahe
yunhi sulagti rahe tere dil mein zist ki aag
magar nahin, tu agar mera raaz-dan hota
tere labon pe dahak uThti koi pyar ki baat
to aaj dahr ke sine pe tu kahan hota
tere sukun ko kabhi chhu saka na waqt ka hat
KHud apni aag hi mein jal-bujhi hai meri hayat
wagarna teri tarah main bhi jawedan hota
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.