abul-kalam aazad
abul-kalām ki badr-e-munīr-e-āzādī
tulūa-e-sub.h-e-tamannā nashāt-e-dīda-o-dil
ḳhulūs pyaar vafā-āshnā tarīq tamām
vo apnī qāmat-e-zebā meñ jaise husn-e-yaqīñ
abul-kalām ḳhitābat kā be-badal paikar
abul-kalām siyāsī shu.ūr kā manzar
abul-kalām fasāhat kā tez-rau dariyā
abul-kalām saqāfat kī mauj-e-be-pāyāñ
abul-kalām mujassam sharāfat-e-mashriq
vo raushnī jise sadiyāñ talāsh kartī haiñ
hamāre ahd kā virsa banī hai ham meñ hai
abul-kalam ki badr-e-munir-e-azadi
tulua-e-subh-e-tamanna nashat-e-dida-o-dil
KHulus pyar wafa-ashna tariq tamam
wo apni qamat-e-zeba mein jaise husn-e-yaqin
abul-kalam KHitabat ka be-badal paikar
abul-kalam siyasi shuur ka manzar
abul-kalam fasahat ka tez-rau dariya
abul-kalam saqafat ki mauj-e-be-payan
abul-kalam mujassam sharafat-e-mashriq
wo raushni jise sadiyan talash karti hain
hamare ahd ka wirsa bani hai hum mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.