abu-lahab ki shadi
shab-e-zafāf-e-abū-lahab thī magar ḳhudāyā vo kaisī shab thī
abū-lahab kī dulhan jab aa.ī to sar pe īñdhan gale meñ
sāñpoñ ke haar laa.ī na us ko mashshātgī se matlab
na maañg ġhāza na rañg roġhan gale meñ sāñpoñ
ke haar us ke to sar pe īñdhan
ḳhudāyā kaisī shab-e-zafāf-e-abū-lahab thī
ye dekhte hī hujūm biphrā bhaḌak uThe yuuñ ġhazab
ki shole ke jaise nañge badan pe jābir ke tāziyāne
javān laḌkoñ kī tāliyāñ thī na sehan meñ shoḳh
laḌkiyoñ ke thirakte paañv thirak rahe the
na naġhma baaqī na shādyāne
abū-lahab ne ye rañg dekhā lagām thāmī lagā.ī
mahmez abū-lahab kī ḳhabar na aa.ī
abū-lahab kī ḳhabar jo aa.ī to sāl-hā-sāl kā zamāna
ġhubār ban kar bikhar chukā thā
abū-lahab ajnabī zamīnoñ ke laal o gauhar sameT kar
phir vatan ko lauTā hazār tarrār o tez āñkheñ purāne
ġhurfoñ se jhāñk uTThīñ hujūm piir o javāñ kā
gahrā hujūm apne gharoñ se niklā abū-lahab ke julūs
ko dekhne ko lapkā
abū-lahab ik shab-e-zafāf-e-abū-lahab kā jalā
phaphūlā ḳhayāl kī ret kā bagūlā vo ishq-e-barbād
kā heyūlā hujūm meñ se pukār uTThī abū-lahab
tū vahī hai jis kī dulhan jab aa.ī to sar pe īñdhan
gale meñ sāñpoñ ke haar laa.ī
abū-lahab ek lamha ThiThkā lagām thāmī lagā.ī
mahmez abū-lahab kī ḳhabar na aa.ī
shab-e-zafaf-e-abu-lahab thi magar KHudaya wo kaisi shab thi
abu-lahab ki dulhan jab aai to sar pe indhan gale mein
sanpon ke haar lai na us ko mashshatgi se matlab
na mang ghaza na rang roghan gale mein sanpon
ke haar us ke to sar pe indhan
KHudaya kaisi shab-e-zafaf-e-abu-lahab thi
ye dekhte hi hujum biphra bhaDak uThe yun ghazab
ki shole ke jaise nange badan pe jabir ke taziyane
jawan laDkon ki taliyan thi na sehan mein shoKH
laDkiyon ke thirakte panw thirak rahe the
na naghma baqi na shadyane
abu-lahab ne ye rang dekha lagam thami lagai
mahmez abu-lahab ki KHabar na aai
abu-lahab ki KHabar jo aai to sal-ha-sal ka zamana
ghubar ban kar bikhar chuka tha
abu-lahab ajnabi zaminon ke lal o gauhar sameT kar
phir watan ko lauTa hazar tarrar o tez aankhen purane
ghurfon se jhank uTThin hujum pir o jawan ka
gahra hujum apne gharon se nikla abu-lahab ke julus
ko dekhne ko lapka
abu-lahab ek shab-e-zafaf-e-abu-lahab ka jala
phaphula KHayal ki ret ka bagula wo ishq-e-barbaad
ka heyula hujum mein se pukar uTThi abu-lahab
tu wahi hai jis ki dulhan jab aai to sar pe indhan
gale mein sanpon ke haar lai
abu-lahab ek lamha ThiThka lagam thami lagai
mahmez abu-lahab ki KHabar na aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.