tere mere jism-e-pur-asrar mein
qabl aziiñ ki nā-rasā idrāk se
tah-ba-tah hone na hone ke
ma.anī ko to suljhāne lage
us haqīqat ko samajh
dafn thā sadiyoñ se jo zer-e-zamīñ
kaise us īñdhan kī garmī ke tufail
beach paude ban ke lahrāne lage
qabl aziiñ ki terā fikr-e-mūshigāf
maġhz-e-insāñ aur a.azā-e-badan ke darmiyāñ
un reshoñ ke har har lachchhe ke gird
jin meñ dil kī barq-rau maujeñ ravāñ haiñ
jin meñ ehsāsāt kī mahtābiyāñ haiñ
gardishoñ par gardisheñ khāne lage
us haqīqat ko samajh
kyuuñ koī be-barq zarra
ik anokhī dhaat ke
nuqta markaz ke bārūdī anāsir se
ma.an kuchh aise Takrāne lage
dekhte hī dekhte
nuqta markaz kā jaadū bhak se uḌ jaane lage
har tasādum ke amal kā
ek sā radd-e-amal
ek se radd-e-amal kā silsila
be-karāñ taḳhayyul kī uḌtī hadoñ se māvarā
lā-intihā
maiñ ne maanā
ham bhī sirf ek musht-e-ḳhāk haiñ
pal agar chale baneñ to ham ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ
lekin aatā hai ḳhayāl
inshifāq ik zarra-e-na-chīz kā
jab badal saktā hai tā-hadd-e-nazar
qumqumoñ kī jagmagāhaT ke tajallī-zār meñ
phir ta.ajjub kyuuñ
agar dekhūñ meñ jo har kī tavānā.ī kā
sail-e-be-karāñ
ḳhīra-kunāñ
zarroñ ke har āvāra-gard ambār meñ
tere mere jism-e-pur-asrār meñ
qabl azin ki na-rasa idrak se
tah-ba-tah hone na hone ke
mani ko to suljhane lage
us haqiqat ko samajh
dafn tha sadiyon se jo zer-e-zamin
kaise us indhan ki garmi ke tufail
beach paude ban ke lahrane lage
qabl azin ki tera fikr-e-mushigaf
maghz-e-insan aur aaza-e-badan ke darmiyan
un reshon ke har har lachchhe ke gird
jin mein dil ki barq-rau maujen rawan hain
jin mein ehsasat ki mahtabiyan hain
gardishon par gardishen khane lage
us haqiqat ko samajh
kyun koi be-barq zarra
ek anokhi dhat ke
nuqta markaz ke barudi anasir se
man kuchh aise Takrane lage
dekhte hi dekhte
nuqta markaz ka jadu bhak se uD jaane lage
har tasadum ke amal ka
ek sa radd-e-amal
ek se radd-e-amal ka silsila
be-karan taKHayyul ki uDti hadon se mawara
la-intiha
main ne mana
hum bhi sirf ek musht-e-KHak hain
pal agar chale banen to hum KHas-o-KHashak hain
lekin aata hai KHayal
inshifaq ek zarra-e-na-chiz ka
jab badal sakta hai ta-hadd-e-nazar
qumqumon ki jagmagahaT ke tajalli-zar mein
phir tajjub kyun
agar dekhun mein jo har ki tawanai ka
sail-e-be-karan
KHira-kunan
zarron ke har aawara-gard ambar mein
tere mere jism-e-pur-asrar mein
- Book : auraq-shumara-number-05,6 (Pg. 70)
- Author : Wazeer Aagha,sajjad Naqvi
- Publication : Daftar Auraq,Chauk Urdu Bazar Lahore (May,June-1983 Issu,5,6)
- Edition : May,June-1983 Issu,5,6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.