achanak bhiD ka KHamosh ho jaana
achānak bhiiḌ ke ḳhāmosh ho jaane kā matlab hai
ijāzat mil ga.ī mujh ko
ki maiñ ab bol saktā huuñ
kisī hullaḌ machātī bhiiḌ ko ḳhāmosh karnā
merā pahlā imtihāñ thā
aur maiñ is meñ kharā utrā
ab aglā imtihāñ ye hai
mujhe is ḳhāmoshī ko tāliyoñ ke shor meñ tabdīl karnā hai
achanak bhiD ke KHamosh ho jaane ka matlab hai
ijazat mil gai mujh ko
ki main ab bol sakta hun
kisi hullaD machati bhiD ko KHamosh karna
mera pahla imtihan tha
aur main is mein khara utra
ab agla imtihan ye hai
mujhe is KHamoshi ko taliyon ke shor mein tabdil karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.