achchhe bachche
ghar kī zīnat achchhe bachche
mulk kī daulat achchhe bachche
ma.azūroñ kī majbūroñ kī
karte ḳhidmat achchhe bachche
har māhaul meñ khap jaate haiñ
hasb-e-zarūrat achchhe bachche
ustādoñ kī vāldain kī
karte itā.at achchhe bachche
ḳhuub husūl-e-ilm kī ḳhātir
karte mehnat achchhe bachche
sehat-mand rahne kī ḳhātir
karte kasrat achchhe bachche
apne vatan kī ḳhush-hālī meñ
rakhte raġhbat achchhe bachche
unhīñ pe ham ko naaz hai 'mehdī'
achchhī fitrat achchhe bachche
ghar ki zinat achchhe bachche
mulk ki daulat achchhe bachche
mazuron ki majburon ki
karte KHidmat achchhe bachche
har mahaul mein khap jate hain
hasb-e-zarurat achchhe bachche
ustadon ki waldain ki
karte itaat achchhe bachche
KHub husul-e-ilm ki KHatir
karte mehnat achchhe bachche
sehat-mand rahne ki KHatir
karte kasrat achchhe bachche
apne watan ki KHush-haali mein
rakhte raghbat achchhe bachche
unhin pe hum ko naz hai 'mehdi'
achchhi fitrat achchhe bachche
- Book : بچوں کا ماہنامہ امنگ (Pg. 41)
- Author : مہدی پرتاب گڑھی
- Publication : اردو اکادمی دہلی (اگست 2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.