achchhe din
sab hī mere saath the aur ham
sāñjhe dukh-sukh rakhte the
aur un saare logoñ meñ
ek hī ḳhvāb numāyāñ thā
aur vo ḳhvāb mohabbat thā
ek mohabbat sau afsāne
har afsāna apne andar ek ajab dukh liye hue thā
lekin dukh-sukh sāñjhe the so
dukh mahsūs nahīñ hotā thā
saath hī baiThe baiThe ham sab
apnā apnā har ik dukh jab
ik duuje se bāñTte the to
hāsil-e-zarb ḳhushī hotā thā
lekin vo sab jo bhī thā
jaisā bhī thā
ab jab vo sab nahīñ rahā to
jab bhī us ko yaad karūñ to dukh hotā hai
hañste hañste ro paḌtā huuñ aur kahtā huuñ
achchhe din the
nahīñ rahe haiñ
sab hi mere sath the aur hum
sanjhe dukh-sukh rakhte the
aur un sare logon mein
ek hi KHwab numayan tha
aur wo KHwab mohabbat tha
ek mohabbat sau afsane
har afsana apne andar ek ajab dukh liye hue tha
lekin dukh-sukh sanjhe the so
dukh mahsus nahin hota tha
sath hi baiThe baiThe hum sab
apna apna har ek dukh jab
ek duje se banTte the to
hasil-e-zarb KHushi hota tha
lekin wo sab jo bhi tha
jaisa bhi tha
ab jab wo sab nahin raha to
jab bhi us ko yaad karun to dukh hota hai
hanste hanste ro paDta hun aur kahta hun
achchhe din the
nahin rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.