achchhi ‘adaton ka bojh
manziloñ par bojh ho jaatī haiñ sab
raste kī achchhī 'ādateñ
jin meñ shāmil haiñ
mirī nafrat sukūñ se
ek ik pal kā hisāb
har ghaḌī mohtāt āñkheñ
vo nazar
jo dekh letī hai bas ik lamhe meñ
koī chiiz chhūTī to nahīñ sāmān meñ
aur bahut thoḌī sī niiñd
ab batāo
itnī achchhī ‘ādatoñ ke saath
koī manziloñ par kyā kare
manziloñ kā kyā kare
manzilon par bojh ho jati hain sab
raste ki achchhi 'adaten
jin mein shamil hain
meri nafrat sukun se
ek ek pal ka hisab
har ghaDi mohtat aankhen
wo nazar
jo dekh leti hai bas ek lamhe mein
koi chiz chhuTi to nahin saman mein
aur bahut thoDi si nind
ab batao
itni achchhi ‘adaton ke sath
koi manzilon par kya kare
manzilon ka kya kare
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 105)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.