achchhī nazm kī ḳhvāhish bilkul bārish jaisī hotī hai
ghan ghan bādal garje barse dhuup bhale chamkīlī ho
achchhī nazm kī ḳhvāhish bilkul aañsū jaisī hotī hai
garm garm aariz par bikhre chāhe shab barfīlī ho
achchhī nazm kī ḳhvāhish bilkul bachpan jaisī hotī hai
chhoTe chhoTe bartan hoñ guḌiyā ho aur sahelī ho
achchhī nazm kī ḳhvāhish bilkul uljhan jaisī hotī hai
jaise ḳhud meñ raaz chhupā ho jaise koī pahelī ho
achchhī nazm kī ḳhvāhish ek safar ke jaisī hotī hai
rail meñ merī maañ ho aur donoñ kī aas bareilly ho
koī nazm na kahnā jab tak tum par ye sab nā utre
nazm kā koī apnā rutba apnā mansab nā utre
achchhi nazm ki KHwahish bilkul barish jaisi hoti hai
ghan ghan baadal garje barse dhup bhale chamkili ho
achchhi nazm ki KHwahish bilkul aansu jaisi hoti hai
garm garm aariz par bikhre chahe shab barfili ho
achchhi nazm ki KHwahish bilkul bachpan jaisi hoti hai
chhoTe chhoTe bartan hon guDiya ho aur saheli ho
achchhi nazm ki KHwahish bilkul uljhan jaisi hoti hai
jaise KHud mein raaz chhupa ho jaise koi paheli ho
achchhi nazm ki KHwahish ek safar ke jaisi hoti hai
rail mein meri man ho aur donon ki aas bareilly ho
koi nazm na kahna jab tak tum par ye sab na utre
nazm ka koi apna rutba apna mansab na utre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.