actress ka contract
mirā vajūd zindagī kā bhed hai dekh
ye ek hoñT ke sho.ale pe barg-e-gul se ḳharāsh
ye ek jism ke kundan meñ gudgudī se gudāz
ye ek ruuh bhiñche bāzuoñ meñ kheltī lahr!
zarā qarīb to aa dekh tere sāmne haiñ
ye surḳh ras bhare lab jin kī ik jhalak ke liye
kabhī qabīloñ ke dil joshanoñ meñ dhaḌke the
jo tū kahe to yahī hoñT surḳh ras bhare hoñT
tire lahū meñ shagūfe khilā bhī sakte haiñ!
qarīb aa ye badan merī zindagī kā tilism
tirī nigāh kī chiñgāriyoñ kā pyāsā hai
jo tū kahe to yahī narm lahariyā āñchal
yahī naqāb mirī chuTkiyoñ meñ aTkī huī
yahī ridā mirī añgḌā.iyoñ se maskī huī
ye ābshār Dhalānoñ se gir bhī saktī hai
bas ek shart... ye gauhar sutūr-e-dastāvez
zarā koī ye vasīqa raqam kare to sahī
ikā.īyoñ ke udhar jitne dā.ere hoñge!
idhar bhī utne hī aks un barahna sho.aloñ ke
mera wajud zindagi ka bhed hai dekh
ye ek honT ke shoale pe barg-e-gul se KHarash
ye ek jism ke kundan mein gudgudi se gudaz
ye ek ruh bhinche bazuon mein khelti lahr!
zara qarib to aa dekh tere samne hain
ye surKH ras bhare lab jin ki ek jhalak ke liye
kabhi qabilon ke dil joshanon mein dhaDke the
jo tu kahe to yahi honT surKH ras bhare honT
tere lahu mein shagufe khila bhi sakte hain!
qarib aa ye badan meri zindagi ka tilism
teri nigah ki chingariyon ka pyasa hai
jo tu kahe to yahi narm lahariya aanchal
yahi naqab meri chuTkiyon mein aTki hui
yahi rida meri angDaiyon se maski hui
ye aabshaar Dhalanon se gir bhi sakti hai
bas ek shart ye gauhar sutur-e-dastawez
zara koi ye wasiqa raqam kare to sahi
ikaiyon ke udhar jitne daere honge!
idhar bhi utne hi aks un barahna shoalon ke
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 124)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.