actress
thartharātī rahī charāġh kī lau
ashk palkoñ pe kaañp kaañp ga.e
koī aañsū na ban sakā taarā
shab ke saa.e nazar ko Dhāñp ga.e
kaT gayā vaqt muskurāhaT meñ
qahqahe ruuh ko pasand na the
vo bhī āñhkeñ churā ga.e āḳhir
dil ke darvāze jin pe band na the
sauñp jaatā hai mujh ko tanhā.ī
jis pe dil e'tibār kartā hai
bantī jaatī huuñ naḳhl-e-sahrā.ī
tū ne chāhā to maiñ ne maan liyā
ghar ko bāzār kar diyā maiñ ne
bech kar apnī ek ek umañg
tujh ko zardār kar diyā maiñ ne
apnī be-chārgī pe ro ro kar
dil tujhe yaad kartā rahtā hai
qahqahoñ ke siyah ujāle meñ
jism fariyād kartā rahtā hai
thartharaati rahi charagh ki lau
ashk palkon pe kanp kanp gae
koi aansu na ban saka tara
shab ke sae nazar ko Dhanp gae
kaT gaya waqt muskurahaT mein
qahqahe ruh ko pasand na the
wo bhi aanhken chura gae aaKHir
dil ke darwaze jin pe band na the
saunp jata hai mujh ko tanhai
jis pe dil e'tibar karta hai
banti jati hun naKHl-e-sahrai
tu ne chaha to main ne man liya
ghar ko bazar kar diya main ne
bech kar apni ek ek umang
tujh ko zardar kar diya main ne
apni be-chaargi pe ro ro kar
dil tujhe yaad karta rahta hai
qahqahon ke siyah ujale mein
jism fariyaad karta rahta hai
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.