adab ke nam pe
adab ke naam pe tahzīb ke luTeroñ ne
jo kār-hā-e-numāyāñ kiye kahūñ kaise
kisī ne sher meñ phabtī kasī ba-īñ maqsad
kahā gayā kabhī uryāñ-nigār ko fankār
jadīdiyat ke taqāze nibhā diye lekin
qabā-e-sharm-o-hayā tār-tār kar Daalī
mizāh kah ke phalāñgī ga.iiñ hudūd-e-adab
ġhulū ke naam pe kuchh log be-hijāb hue
kisī ne jins pe bebāk sher likh Daale
kisī ne vasl ke lamhāt be-naqāb kiye
ġhazal kī aaḌ meñ kuchh ne nikālā dil kā ġhubār
to koī parda-e-nasrī meñ chhup ke khul khelā
sitam to ye hai ki iffat kā naam le kar hī
uḌaa.ī jaatī rahīñ dhajjiyāñ sharāfat kī
mazīd ye ki ye qazzāq-e-shahr-e-ilm-o-adab
samajh rahe haiñ ki un ko adab meñ naam milā
adab ke nam pe tahzib ke luTeron ne
jo kar-ha-e-numayan kiye kahun kaise
kisi ne sher mein phabti kasi ba-in maqsad
kaha gaya kabhi uryan-nigar ko fankar
jadidiyat ke taqaze nibha diye lekin
qaba-e-sharm-o-haya tar-tar kar Dali
mizah kah ke phalangi gain hudud-e-adab
ghulu ke nam pe kuchh log be-hijab hue
kisi ne jins pe bebak sher likh Dale
kisi ne wasl ke lamhat be-naqab kiye
ghazal ki aaD mein kuchh ne nikala dil ka ghubar
to koi parda-e-nasri mein chhup ke khul khela
sitam to ye hai ki iffat ka nam le kar hi
uDai jati rahin dhajjiyan sharafat ki
mazid ye ki ye qazzaq-e-shahr-e-ilm-o-adab
samajh rahe hain ki un ko adab mein nam mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.