havā ke jhoñke idhar jo aa.eñ to un se kahnā
yahāñ koī aisī shai nahīñ jise vo le jaa.eñ saath apne
yahāñ koī aisī shai nahīñ jise koī dekh kar ye soche
ki ye hamāre bhī paas hotī
yahāñ koī rāh-rau nahīñ hai na koī manzil
yahāñ añdherā nahīñ ujālā nahīñ koī shai nahīñ hai
guzarte lamhoñ ke ātishīñ paañv is jagah pai-ba-pai ravāñ haiñ
har ek shai ko sujhāte jaate har ek shai ko jalāte jaate miTāte jaate
har ek shai ko sujhāte jaate ki kuchh nahīñ hast se bhī hāsil
havā ke jhoñke idhar jo aa.eñ to un se kahnā
ye sab ma.ābid ye shahr gaañv
fasāna-e-zīst ke nishāñ haiñ
magar har ik dar pe jā ke dekhā har ek dīvār rauñd Daalī har ek rauzan ko dil samajh kar
ye bhed jaanā
guzarte lamhoñ ke ātishīñ paañv har jagah pai-ba-pai ravāñ haiñ
kahīñ miTāte kahīñ miTāne ke vāste naqsh-e-nau banāte
hayāt-e-rafta hayāt-e-ā.inda se milegī ye kaun jaane
havā ke jhoñke idhar jo aa.eñ to un se kahnā
har jagah daam dūriyoñ kā bichhā huā hai
har ik jagah vaqt ek ifrīt kī tarah yuuñ khaḌā huā hai
ki jaise vo kā.enāt kā aks-e-be-karāñ ho
kabhī fareb-e-ḳhayāl ban kar kabhī kabhī bhuul kar shu.ūr-e-jamāl ban kar
shikār kī nā-tavāñ nazar ko sujhā rahā hai
har ek shai se mirā nishān-e-adam ayaañ hai
adam bhī daryūza-gar hai merā mire hī bal par ravāñ-davāñ hai
havā ke jhoñke idhar jo aa.eñ to un se kahnā
fasāna-e-zīst kā jhulastā huā ujālā bhī miT chukā hai
magar ho miT kar koī añdherā nahīñ banā hai
ki is jagah to koī añdherā nahīñ ujālā nahīñ yahāñ koī shai nahīñ hai
hawa ke jhonke idhar jo aaen to un se kahna
yahan koi aisi shai nahin jise wo le jaen sath apne
yahan koi aisi shai nahin jise koi dekh kar ye soche
ki ye hamare bhi pas hoti
yahan koi rah-rau nahin hai na koi manzil
yahan andhera nahin ujala nahin koi shai nahin hai
guzarte lamhon ke aatishin panw is jagah pai-ba-pai rawan hain
har ek shai ko sujhate jate har ek shai ko jalate jate miTate jate
har ek shai ko sujhate jate ki kuchh nahin hast se bhi hasil
hawa ke jhonke idhar jo aaen to un se kahna
ye sab maabid ye shahr ganw
fasana-e-zist ke nishan hain
magar har ek dar pe ja ke dekha har ek diwar raund Dali har ek rauzan ko dil samajh kar
ye bhed jaana
guzarte lamhon ke aatishin panw har jagah pai-ba-pai rawan hain
kahin miTate kahin miTane ke waste naqsh-e-nau banate
hayat-e-rafta hayat-e-ainda se milegi ye kaun jaane
hawa ke jhonke idhar jo aaen to un se kahna
har jagah dam duriyon ka bichha hua hai
har ek jagah waqt ek ifrit ki tarah yun khaDa hua hai
ki jaise wo kaenat ka aks-e-be-karan ho
kabhi fareb-e-KHayal ban kar kabhi kabhi bhul kar shuur-e-jamal ban kar
shikar ki na-tawan nazar ko sujha raha hai
har ek shai se mera nishan-e-adam ayan hai
adam bhi daryuza-gar hai mera mere hi bal par rawan-dawan hai
hawa ke jhonke idhar jo aaen to un se kahna
fasana-e-zist ka jhulasta hua ujala bhi miT chuka hai
magar ho miT kar koi andhera nahin bana hai
ki is jagah to koi andhera nahin ujala nahin yahan koi shai nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.