adam katha
maiñ mohabbat kartā aur zinda rahnā bhuul chukī huuñ
aur khilaunoñ ke na.e kārobār kā lutf uThā rahī huuñ
khilaune mujhe bech rahe haiñ
maut ke hāthoñ
jo zarūratoñ aur zarūratoñ kī takmīl ke bahrūp badaltī hai
khilaune mujhe chābī dete haiñ
aur sub.h ho jaatī hai
shaam hote hote chābī ḳhatm hotī hai
aur zehn meñ bhaḌakte hue sho.aloñ
yā dil meñ chubhtī huī ThanDak kī tarah yādeñ
raat ban jaatī haiñ
jaise kisī bhūke naukar ko kaam karvāne kī majbūrī meñ
mazīd bhūkā rakkhā jaatā hai
vo merī āñkhoñ meñ jhāñke banā so jaatā hai
vajūd tak pahuñchne vaale kabhī na kiye jaane vaale safar ke liye
vo āsmān tak jaanā chāhtā hai
aur maiñ ghar kī dīvāreñ buland karnā chāhtī huuñ
khilaune apnā vajūd mere dil se ugāte haiñ
aur mujhe yaqīn hai
vo vajūd rakhte haiñ
aur meñ in saare majbūr dinoñ kī tarah
adam ban chukī huuñ
main mohabbat karta aur zinda rahna bhul chuki hun
aur khilaunon ke nae karobar ka lutf uTha rahi hun
khilaune mujhe bech rahe hain
maut ke hathon
jo zaruraton aur zaruraton ki takmil ke bahrup badalti hai
khilaune mujhe chabi dete hain
aur subh ho jati hai
sham hote hote chabi KHatm hoti hai
aur zehn mein bhaDakte hue shoalon
ya dil mein chubhti hui ThanDak ki tarah yaaden
raat ban jati hain
jaise kisi bhuke naukar ko kaam karwane ki majburi mein
mazid bhuka rakkha jata hai
wo meri aankhon mein jhanke bana so jata hai
wajud tak pahunchne wale kabhi na kiye jaane wale safar ke liye
wo aasman tak jaana chahta hai
aur main ghar ki diwaren buland karna chahti hun
khilaune apna wajud mere dil se ugate hain
aur mujhe yaqin hai
wo wajud rakhte hain
aur mein in sare majbur dinon ki tarah
adam ban chuki hun
- Book : Andekhi Lahren(rekhta website) (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.