adam se pare
vo jagmagātā huā shahr merī āñkhoñ meñ
tamām raat laraztā hai
āñsuoñ kī tarah
kabhī sisaktā hai TuuTe hue manāroñ meñ
kabhī Tapaktā hai āvāza-e-bahār kī sūrat
hisāb qatra-e-ashk
ā.īna sutūnoñ kā
mire bujhe hue chehre ke sāmne aa kar
pukārtā hai
chale aao jaan ahd guzishta
vo sā.ebān bahut intizār kartā hai
ujaḌ ga.ī hai takallum kī bastiyāñ
lekin
nishāniyāñ ka.ī baaqī haiñ
bujhtī huī be-zabāñ fazāoñ meñ
hurūf o saut o sadā ke ġhubār kī sūrat
kushāda āñganoñ kā surma.ī añdherā laraztā hai
kuchh parindoñ kī
aalam panāh āñkhoñ meñ
vo jagmagātā huā shahr
ek qila-e-āshuftagāñ bhī hai
jis se
har ek ḳhvāb adam
sar paTaktā rahtā hai
wo jagmagata hua shahr meri aankhon mein
tamam raat larazta hai
aansuon ki tarah
kabhi sisakta hai TuTe hue manaron mein
kabhi Tapakta hai aawaza-e-bahaar ki surat
hisab qatra-e-ashk
aaina sutunon ka
mere bujhe hue chehre ke samne aa kar
pukarta hai
chale aao jaan ahd guzishta
wo saeban bahut intizar karta hai
ujaD gai hai takallum ki bastiyan
lekin
nishaniyan kai baqi hain
bujhti hui be-zaban fazaon mein
huruf o saut o sada ke ghubar ki surat
kushada aanganon ka surmai andhera larazta hai
kuchh parindon ki
aalam panah aankhon mein
wo jagmagata hua shahr
ek qila-e-ashuftagan bhi hai
jis se
har ek KHwab adam
sar paTakta rahta hai
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.