maiñ ik nasheḌī
jo zindagī ke nashe meñ dhut thā
na jaane kab se
maiñ umr ke lambe rāstoñ par
bhaTak rahā thā
yahāñ vahāñ laḌkhaḌā rahā thā
kabhī kisī justujū se uljhā
kabhī kisī aarzū meñ aTkā
girā mohabbat kī nāliyoñ meñ
guzar rahe kuchh dinoñ ne
mujh par uchhāle patthar
to kuchh ne thūkā mirī zalālat pe
aur baḌh ga.e
maiñ sochtā thā nashe meñ rahnā
ilaaj hai mere sab ġhamoñ kā
par aaj hāthoñ meñ
maut-pyāla lagā to jaanā
ki saare dukh dard rog-bhar the
jo is davā kī bas ek chuskī
se kaTne the par
maiñ ik nasheḌī
jo zindagī ke nashe meñ dhut thā
main ek nasheDi
jo zindagi ke nashe mein dhut tha
na jaane kab se
main umr ke lambe raston par
bhaTak raha tha
yahan wahan laDkhaDa raha tha
kabhi kisi justuju se uljha
kabhi kisi aarzu mein aTka
gira mohabbat ki naliyon mein
guzar rahe kuchh dinon ne
mujh par uchhaale patthar
to kuchh ne thuka meri zalalat pe
aur baDh gae
main sochta tha nashe mein rahna
ilaj hai mere sab ghamon ka
par aaj hathon mein
maut-pyala laga to jaana
ki sare dukh dard rog-bhar the
jo is dawa ki bas ek chuski
se kaTne the par
main ek nasheDi
jo zindagi ke nashe mein dhut tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.