adhura unsur
vo sālmiyyat thī ek vahdat
vo kāmiliyyat kisī tarah ek ġhair-mazbūt sāniye meñ bikhar ga.ī to
alag huā us kā ek hissa!
vo ek unsur kā ek hissa
jhaTak ke dāman
ḳhalā ke gahre amiiq lā-vaqt fāsloñ ko ubuur kartā
hazāroñ sadiyoñ kī dūriyoñ par chalā gayā hai.....!
koī nahīñ jāntā ke kaise vo nā-mukammal shikasta unsur
adhūre-pan kī aziyyatoñ se guzar rahā hai
magar vo itnā to jāntā hai
ki jaan se bhī azīz-tar vo adhūrā unsur
aTuuT bandhan kī ek Dorī se be-lachak sā bañdhā huā hai!
havā kī Dorī kā ik sirā us ke haath meñ hai
to dūsrā us ke haath meñ hai
agar ye ranjūr ho gayā to
havā ke tāroñ pe dukh kī lahreñ
vahāñ pahuñch kar
use bhī dukh meñ lapeT leñgī!!
wo salmiyyat thi ek wahdat
wo kaamiliyyat kisi tarah ek ghair-mazbut saniye mein bikhar gai to
alag hua us ka ek hissa!
wo ek unsur ka ek hissa
jhaTak ke daman
KHala ke gahre amiq la-waqt faslon ko ubur karta
hazaron sadiyon ki duriyon par chala gaya hai!
koi nahin jaanta ke kaise wo na-mukammal shikasta unsur
adhure-pan ki aziyyaton se guzar raha hai
magar wo itna to jaanta hai
ki jaan se bhi aziz-tar wo adhura unsur
aTuT bandhan ki ek Dori se be-lachak sa bandha hua hai!
hawa ki Dori ka ek sira us ke hath mein hai
to dusra us ke hath mein hai
agar ye ranjur ho gaya to
hawa ke taron pe dukh ki lahren
wahan pahunch kar
use bhi dukh mein lapeT lengi!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.