adhure KHwab
Interesting Fact
(Naqsh, Karachi May-June 1973)
ye ġhanīmat hai ki vo ḳhvāb adhūre hī rahe
vo jo ik umr talak
merī be-ḳhvāb nigāhoñ kā uḌāte the mazāq
vo jinheñ sāda-dilī samjhī junūñ kā tiryāk
jo kabhī baam pe chamke
kabhī dar se jhāñke
kabhī rauzan kabhī chilman se numūdār hue
jo kabhī zulf kā jaadū
to kabhī shola-e-ruḳhsār hue
jo kabhī chashm-e-fusūñ-kār hue
khol kar band darīche chaman-ārā.ī kī
aarzū bante ga.e jo ġham-e-tanhā.ī kī
ye ġhanīmat hai ki vo ḳhvāb adhūre hī rahe
marg-e-ta.abīr kā unvāñ na bane
varna ye tohmat-e-rusvā.ī kahāñ se aatī
mere fan meñ ye masīhā.ī kahāñ se aatī
ye ghanimat hai ki wo KHwab adhure hi rahe
wo jo ek umr talak
meri be-KHwab nigahon ka uDate the mazaq
wo jinhen sada-dili samjhi junun ka tiryak
jo kabhi baam pe chamke
kabhi dar se jhanke
kabhi rauzan kabhi chilman se numudar hue
jo kabhi zulf ka jadu
to kabhi shola-e-ruKHsar hue
jo kabhi chashm-e-fusun-kar hue
khol kar band dariche chaman-arai ki
aarzu bante gae jo gham-e-tanhai ki
ye ghanimat hai ki wo KHwab adhure hi rahe
marg-e-tabir ka unwan na bane
warna ye tohmat-e-ruswai kahan se aati
mere fan mein ye masihai kahan se aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.