adhuri aarzu
kabhī maiñ sochtā huuñ
ḳhol se apne nikal kar
ik parinde kī tarah
bādal ko chhū luuñ
yā kabhī jharne meñ bachchoñ kī tarah
kilkāriyāñ bhar kar
uchhālūñ aap apne jism par paanī
kabhī jā kar samundar ke kināre
ret par leTūñ
gharauñde ret ke ta.amīr kar ke
ek Thokar se girā duuñ
yā kisī masrūf sī shah-rāh par jā.ūñ
vahāñ chīḳhūñ hañsūñ gā.ūñ
kabhī fōtpath par ruk kar
dahī ke gol-gappe khā ke chaTḳhāre bharūñ
yā phir adab aur sher kī koī siqa mahfil meñ jā.ūñ
aur vahāñ khillī uḌā.ūñ
jab mujhe sab chauñk kar hairat se ghūreñ to
ḳhushī se jhuum jā.ūñ
apne hoñToñ se hañsī kā ek favvāra uḌā kar
bhaag niklūñ
haañ magar in meñ se koī baat bhī mumkin nahīñ hai
kyoñ ki
maiñ to apne ḳhol meñ
mahsūr rahtā huuñ
hamesha qaid rahtā huuñ
kabhi main sochta hun
KHol se apne nikal kar
ek parinde ki tarah
baadal ko chhu lun
ya kabhi jharne mein bachchon ki tarah
kilkariyan bhar kar
uchhaalun aap apne jism par pani
kabhi ja kar samundar ke kinare
ret par leTun
gharaunde ret ke tamir kar ke
ek Thokar se gira dun
ya kisi masruf si shah-rah par jaun
wahan chiKHun hansun gaun
kabhi footpath par ruk kar
dahi ke gol-gappe kha ke chaTKHare bharun
ya phir adab aur sher ki koi siqa mahfil mein jaun
aur wahan khilli uDaun
jab mujhe sab chaunk kar hairat se ghuren to
KHushi se jhum jaun
apne honTon se hansi ka ek fawwara uDa kar
bhag niklun
han magar in mein se koi baat bhi mumkin nahin hai
kyon ki
main to apne KHol mein
mahsur rahta hun
hamesha qaid rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.