adhuri nazm hoti hai
kahāñ tum jaan pāoge
ki is tapte hue sahrā meñ nange paañv chalne kī
aziyyat kis ko kahte haiñ
ka.ī din pyaas kī chhāgal liye
jab ret honā ho
to hoñToñ kī dahaktī aarzū ko māpne kā koī paimāna
jahāñ meñ ban nahīñ paayā
to kyā vo dard sun pāoge
jis ko
aaj tak koī
yahāñ chīḳhā nahīñ khul kar
kahāñ vo karb jānoge
javāñ-sālī meñ apnā
jab koī ruḳhsat kiyā jaa.e
to dil par kyā guzartī hai
hamārī zindagī qabroñ pe jā kar baiTh jaatī hai
kahā ye aam jaatā hai
ki vaqt har zaḳhm kā marham hai
lekin
kuchh kachoke vaqt se zaa.il nahīñ hote
hamesha taaza rahte haiñ
mukammal ho nahīñ paatī hamārī pāra-pāra zaat
adhūrī nazm hotī hai
kahan tum jaan paoge
ki is tapte hue sahra mein nange panw chalne ki
aziyyat kis ko kahte hain
kai din pyas ki chhagal liye
jab ret hona ho
to honTon ki dahakti aarzu ko mapne ka koi paimana
jahan mein ban nahin paya
to kya wo dard sun paoge
jis ko
aaj tak koi
yahan chiKHa nahin khul kar
kahan wo karb jaanoge
jawan-sali mein apna
jab koi ruKHsat kiya jae
to dil par kya guzarti hai
hamari zindagi qabron pe ja kar baiTh jati hai
kaha ye aam jata hai
ki waqt har zaKHm ka marham hai
lekin
kuchh kachoke waqt se zail nahin hote
hamesha taza rahte hain
mukammal ho nahin pati hamari para-para zat
adhuri nazm hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.