adhuri
naḳhl-e-numū kī shāḳh pe jis dam
nam kī aañch kī sarshārī meñ
pañkh apne phailā kar ġhuncha
puurī taab se khil uThtā hai
rañg aur ḳhushbū kī baanī meñ
zāt-o-hayāt ke kitne nukte
puure vajūd se kah detā hai
ye nahīñ jāntā kaise kaise
rut ke bhed havā ke tevar
phir bhī an-kahe rah jaate haiñ
dekhte dekhte rañg aur ḳhushbū
aap hī maddham ho jaate haiñ
puurī baat kahī nahīñ jaatī
baat adhūrī rah jaatī hai
raste ḳhatm kabhī nahīñ hote
rastoñ ke aage raste haiñ
ārzūoñ andeshoñ jaise
rastoñ meñ raste uljhe haiñ
in rastoñ ke raahī saare
thak thak raah meñ rah jaate haiñ
raste ḳhatm kabhī nahīñ hote
bātoñ ke pīchhe bāteñ haiñ
chehre saaf nazar nahīñ aate
chehre chilman ban jaate haiñ
chehroñ ke pīchhe chehre haiñ
chehre maddham ho jaate haiñ
manzar mub.ham ho jaate haiñ
diid nasīb kise hotī hai
dil meñ duurī rah jaatī hai
puurī baat kahe kyā koī
puurī baat kahī hai kis ne
baat adhūrī rah jaatī hai
naKHl-e-numu ki shaKH pe jis dam
nam ki aanch ki sarshaari mein
pankh apne phaila kar ghuncha
puri tab se khil uThta hai
rang aur KHushbu ki bani mein
zat-o-hayat ke kitne nukte
pure wajud se kah deta hai
ye nahin jaanta kaise kaise
rut ke bhed hawa ke tewar
phir bhi an-kahe rah jate hain
dekhte dekhte rang aur KHushbu
aap hi maddham ho jate hain
puri baat kahi nahin jati
baat adhuri rah jati hai
raste KHatm kabhi nahin hote
raston ke aage raste hain
aarzuon andeshon jaise
raston mein raste uljhe hain
in raston ke rahi sare
thak thak rah mein rah jate hain
raste KHatm kabhi nahin hote
baaton ke pichhe baaten hain
chehre saf nazar nahin aate
chehre chilman ban jate hain
chehron ke pichhe chehre hain
chehre maddham ho jate hain
manzar mubham ho jate hain
did nasib kise hoti hai
dil mein duri rah jati hai
puri baat kahe kya koi
puri baat kahi hai kis ne
baat adhuri rah jati hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 420)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.