afkar pareshan
duniyā-e-rang-o-bū se mohabbat nahīñ rahī
ab gul-ruḳhān-e-dahr kī chāhat nahīñ rahī
yā-rab ye kis maqām par ab aa gayā huuñ maiñ
bezār dil ko un se bhī ulfat nahīñ rahī
bīmār-e-ġham kī chāragarī ab na kījiye
is ko kisī ilaaj kī hājat nahīñ rahī
āzurda mujh ko dekh ke kahte haiñ sab rafīq
kyā ho gayā tumheñ ki bashāshat nahīñ rahī
jo kuchh kahā kisī ne vo chupke se sun liyā
duniyā se ab ulajhne kī himmat nahīñ rahī
dushvārī-e-hayāt se hai qāfiya hī tang
aise meñ sher kahne kī fursat nahīñ rahī
taqdīr ne bhī apnī nazar mujh se pher lī
jab se tumhārī chashm-e-ināyat nahīñ rahī
is ālam-e-vajūd pe tanqīd kyā karūñ
ab mujh ko aib-jūī kī aadat nahīñ rahī
jalva har ek shai meñ hai parvardigār kā
dil ko kisī bhī chiiz se nafrat nahīñ rahī
terī tajalliyoñ se huā dil bhī jām-e-jam
is aa.ine pe gard-e-kudūrat nahīñ rahī
yā duur bhāgtā thā maiñ apnoñ ke naam se
yā dushmanoñ se bhī mujhe vahshat nahīñ rahī
zar hai kasauTī azmat-e-insāñ kī āj-kal
ilm-o-hunar kī ab koī vaq.at nahīñ rahī
tahzīb-e-nau ne dekhiye kyā gul khilā.e haiñ
mafqūd hai ḳhulūs muravvat nahīñ rahī
go auratoñ meñ jazba-e-īsār ḳhatm hai
mardoñ meñ bhī hamiyyat-o-ġhairat nahīñ rahī
bāzār garm rahtā hai makr-o-fareb kā
sidq-o-safā kī ab koī qīmat nahīñ rahī
hai aadmī kī zaat se larzāñ ḳhud aadmī
ahl-e-jahāñ ke dil meñ uḳhuvvat nahīñ rahī
lahore kyā chhuTā ki zamāna badal gayā
arbāb-e-zauq-o-shauq kī sohbat nahīñ rahī
kyā baat hai ki ab tire sheroñ meñ ai 'bahār'
vo soz vo taḌap vo harārat nahīñ rahī
duniya-e-rang-o-bu se mohabbat nahin rahi
ab gul-ruKHan-e-dahr ki chahat nahin rahi
ya-rab ye kis maqam par ab aa gaya hun main
bezar dil ko un se bhi ulfat nahin rahi
bimar-e-gham ki chaaragari ab na kijiye
is ko kisi ilaj ki hajat nahin rahi
aazurda mujh ko dekh ke kahte hain sab rafiq
kya ho gaya tumhein ki bashashat nahin rahi
jo kuchh kaha kisi ne wo chupke se sun liya
duniya se ab ulajhne ki himmat nahin rahi
dushwari-e-hayat se hai qafiya hi tang
aise mein sher kahne ki fursat nahin rahi
taqdir ne bhi apni nazar mujh se pher li
jab se tumhaari chashm-e-inayat nahin rahi
is aalam-e-wajud pe tanqid kya karun
ab mujh ko aib-jui ki aadat nahin rahi
jalwa har ek shai mein hai parwardigar ka
dil ko kisi bhi chiz se nafrat nahin rahi
teri tajalliyon se hua dil bhi jam-e-jam
is aaine pe gard-e-kudurat nahin rahi
ya dur bhagta tha main apnon ke nam se
ya dushmanon se bhi mujhe wahshat nahin rahi
zar hai kasauTi azmat-e-insan ki aaj-kal
ilm-o-hunar ki ab koi waqat nahin rahi
tahzib-e-nau ne dekhiye kya gul khilae hain
mafqud hai KHulus murawwat nahin rahi
go auraton mein jazba-e-isar KHatm hai
mardon mein bhi hamiyyat-o-ghairat nahin rahi
bazar garm rahta hai makr-o-fareb ka
sidq-o-safa ki ab koi qimat nahin rahi
hai aadmi ki zat se larzan KHud aadmi
ahl-e-jahan ke dil mein uKHuwwat nahin rahi
lahore kya chhuTa ki zamana badal gaya
arbab-e-zauq-o-shauq ki sohbat nahin rahi
kya baat hai ki ab tere sheron mein ai 'bahaar'
wo soz wo taDap wo hararat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.