africa come-back
Interesting Fact
"Africa Come Back"- is a popular slogan of the Socialists and Liberals of Africa. This poem was recited by Faiz in Montgomery Prison in 1955.
aa jaao ne sun lī tire Dhol kī tarañg
aa jaao mast ho ga.ī mere lahū kī taal
''ā jaao africa''
aa jaao maiñ ne dhuul se māthā uThā liyā
aa jaao ne chhīl dī āñkhoñ se ġham kī chhāl
aa jaao meñ ne dard se baazū chhuḌā liyā
aa jaao maiñ ne noch diyā be-kasī kā jaal
''ā jaao africa''
afrīqī ḳhidmat pasandoñ kā na.ara
panje meñ hathkaḌī kī kaḌī bin ga.ī hai gurz
gardan kā tauq toḌ ke Dhālī hai maiñ ne Dhaal
''ā jaao africa''
chalte haiñ har kachhār meñ bhāloñ ke marg nain
dushman lahū se raat kī kālak huī hai laal
''ā jaao africa''
dhartī dhaḌak rahī hai mire saath africa
dariyā thirak rahā hai to ban de rahā hai taal
maiñ africa huuñ dhaar liyā maiñ ne terā ruup
maiñ tū huuñ merī chaal hai terī babbar kī chaal
''ā jaao africa''
aao babbar kī chaal
''ā jaao africa''
aa jao ne sun li tere Dhol ki tarang
aa jao mast ho gai mere lahu ki tal
aa jao africa
aa jao main ne dhul se matha uTha liya
aa jao ne chhil di aankhon se gham ki chhaal
aa jao mein ne dard se bazu chhuDa liya
aa jao main ne noch diya be-kasi ka jal
aa jao africa
afriqi KHidmat pasandon ka nara
panje mein hathkaDi ki kaDi bin gai hai gurz
gardan ka tauq toD ke Dhaali hai main ne Dhaal
aa jao africa
chalte hain har kachhaar mein bhaalon ke marg nain
dushman lahu se raat ki kalak hui hai lal
aa jao africa
dharti dhaDak rahi hai mere sath africa
dariya thirak raha hai to ban de raha hai tal
main africa hun dhaar liya main ne tera rup
main tu hun meri chaal hai teri babbar ki chaal
aa jao africa
aao babbar ki chaal
aa jao africa
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 278)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.