afsar
zahmat-e-kaun-o-makāñ khīñch rahā hai koī
tīrgī vus.at-e-aflāk se miT jā.egī
ishq is tarah chhupā.e se bhalā kyā chhuptā
mere ashkoñ meñ koī Duub ke aaj ubhrā hai
maiñ ne dekhā hai kahīñ aaj hayā kā paikar
kis ke e.ajāz-e-karam kī yahāñ sargoshī hai
koī dīvāna sar-e-rāh sañbhal jā.egā
miT rahā thā jo use us kī ḳhabar hī kab thī
koī aa kar mirī duniyā ko badal jā.egā
kis se kah duuñ maiñ in āñkhoñ kī hasīñ baat ki ab
jāvedāñ hone ko ye sho.ala-e-dil uThtā hai
aaj to ḳhuld-e-alī-gaḌh bhī hai badnām bahut
hīr-o-rānjhā kī hikāyāt ne lab khol diye
naam ab afsar-o-anjum ke liye jaate haiñ
haañ magar kis se huī sohnī mahivāl kī jiit
kaun hai jis se mirā dard-o-ġham-e-hijr miTā
darmiyāñ aaj koī āhanī dīvār nahīñ
koī parda nahīñ ab parda-e-zulmāt se chaak
kārvān-e-ġham-e-dil aaj nahīñ ruk saktā
kahkashāñ ab mire qadmoñ kī tamannā.ī hai
aur ham toḌ chuke arsh ke pindār ko bhī
āsmāñ apnī bulandī pe kare naaz to kyā
tīrgī vus.at-e-aflāk se miT jā.egī
zahmat-e-kaun-o-makāñ khīñch rahā hai koī
zahmat-e-kaun-o-makan khinch raha hai koi
tirgi wusat-e-aflak se miT jaegi
ishq is tarah chhupae se bhala kya chhupta
mere ashkon mein koi Dub ke aaj ubhra hai
main ne dekha hai kahin aaj haya ka paikar
kis ke eajaz-e-karam ki yahan sargoshi hai
koi diwana sar-e-rah sanbhal jaega
miT raha tha jo use us ki KHabar hi kab thi
koi aa kar meri duniya ko badal jaega
kis se kah dun main in aankhon ki hasin baat ki ab
jawedan hone ko ye shoala-e-dil uThta hai
aaj to KHuld-e-ali-gaDh bhi hai badnam bahut
hir-o-ranjha ki hikayat ne lab khol diye
nam ab afsar-o-anjum ke liye jate hain
han magar kis se hui sohni mahiwal ki jit
kaun hai jis se mera dard-o-gham-e-hijr miTa
darmiyan aaj koi aahani diwar nahin
koi parda nahin ab parda-e-zulmat se chaak
karwan-e-gham-e-dil aaj nahin ruk sakta
kahkashan ab mere qadmon ki tamannai hai
aur hum toD chuke arsh ke pindar ko bhi
aasman apni bulandi pe kare naz to kya
tirgi wusat-e-aflak se miT jaegi
zahmat-e-kaun-o-makan khinch raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.