magar ham ne dekhā
ki vīrān ghāTī kā dāman bharā thā
bahut saarī chīzeñ
havāoñ ke paañv se uljhī huī thiiñ
duāoñ kī
ḳhālī aur auñdhī paḌī shīshiyāñ
aur TuuTī huī panjgāna namāzeñ
navāfil-o-siyām kī saḳht Dhāleñ
masājid ke rastoñ meñ toḌī ga.ī
jūtiyoñ
aur qadm-dar-qadam
nekiyoñ kī qatāreñ
vazā.if-o-darūd-o-munājāt ke
ik ribbon meñ bañdhe
ḳhudāvand-e-ālam kī rassī ke TukḌe
aur aisī bahut saarī chīzeñ
ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ bikhrī huī thiiñ
ki jaise yahāñ
raat Thahre hue kārvāñ ko
ab un kī zarūrat na thī
ki baḳhshish kā ḳhālī kanastar
bahut bhar gayā thā
magar nek nāmoñ kī pheñkī huī
bahut saarī chīzoñ ke
is Dher meñ
koī hamsā.e kā dard
us par bahāyā gayā garm aañsū nahīñ thā
koī bhuuk ko kāTne vaalā dildār chāqū nahīñ thā
saḳhāvat kā ḳhāmosh haath
aur shaqāvat pe uThtā huā koī baazū nahīñ thā
bahut saarī chīzeñ thiiñ
lekin kahīñ bhī tarāzū nahīñ thā
magar hum ne dekha
ki viran ghaTi ka daman bhara tha
bahut sari chizen
hawaon ke panw se uljhi hui thin
duaon ki
KHali aur aundhi paDi shishiyan
aur TuTi hui panjgana namazen
nawafil-o-siyam ki saKHt Dhaalen
masajid ke raston mein toDi gai
jutiyon
aur qadm-dar-qadam
nekiyon ki qataren
wazaif-o-darud-o-munajat ke
ek ribbon mein bandhe
KHudawand-e-alam ki rassi ke TukDe
aur aisi bahut sari chizen
KHuda ki KHudai mein bikhri hui thin
ki jaise yahan
raat Thahre hue karwan ko
ab un ki zarurat na thi
ki baKHshish ka KHali kanastar
bahut bhar gaya tha
magar nek namon ki phenki hui
bahut sari chizon ke
is Dher mein
koi hamsae ka dard
us par bahaya gaya garm aansu nahin tha
koi bhuk ko kaTne wala dildar chaqu nahin tha
saKHawat ka KHamosh hath
aur shaqawat pe uThta hua koi bazu nahin tha
bahut sari chizen thin
lekin kahin bhi taraazu nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.