afsurda mohabbat
rahne do
abhī biich meñ
dīvār-e-ajnabiyyat
ki ġhanīmat hai
ġhanīmat hai ki jazboñ kā sahrā
yuuñ hī ābād rahe
kahīñ kisī taur
koī naḳhlistān aa na paa.e
ġhanīmat hai ki
guftugū pahroñ rahe magar
nazar kī tishnagī
ik hirās ban kar
chhā.ī rahe
ġhanīmat hai ki
ham bahut paas aa kar bhī
ajnabī raheñ sadā
na maiñ jānūñ
na tum jaano
na ban paa.e
koī lamha
lamha pashemānī kā
tanhā.ī ye
aur is kī rangīn ghaḌiyāñ
ġhanīmat haiñ
dīvār-e-ajnabiyyat
aur us pe baiThī huī
afsurda mohabbat
ġhanīmat hai
rahne do
abhi bich mein
diwar-e-ajnabiyyat
ki ghanimat hai
ghanimat hai ki jazbon ka sahra
yun hi aabaad rahe
kahin kisi taur
koi naKHlistan aa na pae
ghanimat hai ki
guftugu pahron rahe magar
nazar ki tishnagi
ek hiras ban kar
chhai rahe
ghanimat hai ki
hum bahut pas aa kar bhi
ajnabi rahen sada
na main jaanun
na tum jaano
na ban pae
koi lamha
lamha pashemani ka
tanhai ye
aur is ki rangin ghaDiyan
ghanimat hain
diwar-e-ajnabiyyat
aur us pe baiThi hui
afsurda mohabbat
ghanimat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.