agar aap
agar aap ek daraḳht haiñ
to zāhir hai
sab se pahle
aap ko banñā chāhiye
ek sāya-dār jagah
aur agar aap ke patte
kisī ḳhizāñ meñ gir jaa.eñ
to aap kī koshish honī chāhiye
ki bahār kā pahlā phuul
yā bārish ke ba.ad khilne vaalī pahlī koñpal
aap hī ke hisse meñ aa.e
agar aap ek daraḳht hoñ
aur koī aap ko kaaT Daale
to afsos mat kījiyegā
ho saktā hai aap kā ta.alluq
daraḳhtoñ ke us ḳhāndān se ho
jis meñ hazāroñ baras pahle
kisī nabī ne panāh lī thī
apne kaaT ke le jaa.e jaane par
afsos mat kījiyegā
ho saktā hai
aap se ek aisī kursī banā.ī jaa.e
jis par baiTh ke
koī laḌkī apne mahbūb ko
hamesha yaad kartī rahe
yā phir aap se bane ek aisī mez
jis ke sāmne koī udaas shā.er
sitāroñ bharī nazmeñ likhtā rahe
yā ho saktā hai
aap se ek aisī sīḌhī banā.ī jaa.e jise dīvār ke saath lagā ke
ham āsmān tak jā sakeñ
yā phir aap se
koī aisā pul banāyā jaa.e
jis par khaḌī ho ke
log ek dūsre se
hamesha milne ke liye
sikke pheñkā kareñ
agar aap daraḳht ban jaa.eñ
to kisī sarkārī imārat ke ahāte
yā kasī chhoTe se rāste ke darmiyān
mat ā.iyegā
varna hameñ aap ko haTāne kā bahut afsos hogā
aur aap sivā.e raakh hone ke
aur kuchh nahīñ kar sakeñge
agar aap ek daraKHt hain
to zahir hai
sab se pahle
aap ko banna chahiye
ek saya-dar jagah
aur agar aap ke patte
kisi KHizan mein gir jaen
to aap ki koshish honi chahiye
ki bahaar ka pahla phul
ya barish ke baad khilne wali pahli konpal
aap hi ke hisse mein aae
agar aap ek daraKHt hon
aur koi aap ko kaT Dale
to afsos mat kijiyega
ho sakta hai aap ka talluq
daraKHton ke us KHandan se ho
jis mein hazaron baras pahle
kisi nabi ne panah li thi
apne kaT ke le jae jaane par
afsos mat kijiyega
ho sakta hai
aap se ek aisi kursi banai jae
jis par baiTh ke
koi laDki apne mahbub ko
hamesha yaad karti rahe
ya phir aap se bane ek aisi mez
jis ke samne koi udas shaer
sitaron bhari nazmen likhta rahe
ya ho sakta hai
aap se ek aisi siDhi banai jae jise diwar ke sath laga ke
hum aasman tak ja saken
ya phir aap se
koi aisa pul banaya jae
jis par khaDi ho ke
log ek dusre se
hamesha milne ke liye
sikke phenka karen
agar aap daraKHt ban jaen
to kisi sarkari imarat ke ahate
ya kasi chhoTe se raste ke darmiyan
mat aaiyega
warna hamein aap ko haTane ka bahut afsos hoga
aur aap siwae rakh hone ke
aur kuchh nahin kar sakenge
- Book : saarii nazmen (Pg. 259)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.