agar hai jazba-e-tamir zinda
agar hai jazba-e-tāmīr zinda
to phir kis chiiz kī ham meñ kamī hai
jahāñ se phuul TuuTā thā vahīñ se
kalī sī ik numāyāñ ho rahī hai
jahāñ bijlī girī thī ab vahī shāḳh
na.e patte pahan kar tan ga.ī hai
ḳhizāñ se ruk sakā kab mausam-e-gul
yahī asl-e-usūl-e-zindagī hai
agar hai jazba-e-tāmīr zinda
khañDar se kal jahāñ bikhre paḌe the
vahīñ se aaj aivāñ uTh rahe haiñ
jahāñ kal zindagī mab.hūt sī thī
vahīñ par aaj naġhme gūñjte haiñ
ye sannāTe se lī hai samt-e-hijrat
yahī asl-e-usūl-e-zindagī hai
agar hai jazba-e-tāmīr zinda
to phir kis chiiz kī ham meñ kamī hai
rahe yaḳh-bastagī kā ḳhauf jab tak
shuā.eñ barf par larzāñ raheñgī
na dhīre jam nahīñ pā.eñge jab tak
charāġhoñ kī laveñ raqsāñ raheñgī
bashar kī apnī hī taqdīr se jañg
yahī asl-e-usūl-e-zindagī hai
agar hai jazba-e-tāmīr zinda
to phir kis chiiz kī ham meñ kamī hai
agar hai jazba-e-tamir zinda
to phir kis chiz ki hum mein kami hai
jahan se phul TuTa tha wahin se
kali si ek numayan ho rahi hai
jahan bijli giri thi ab wahi shaKH
nae patte pahan kar tan gai hai
KHizan se ruk saka kab mausam-e-gul
yahi asl-e-usul-e-zindagi hai
agar hai jazba-e-tamir zinda
khanDar se kal jahan bikhre paDe the
wahin se aaj aiwan uTh rahe hain
jahan kal zindagi mabhut si thi
wahin par aaj naghme gunjte hain
ye sannaTe se li hai samt-e-hijrat
yahi asl-e-usul-e-zindagi hai
agar hai jazba-e-tamir zinda
to phir kis chiz ki hum mein kami hai
rahe yaKH-bastagi ka KHauf jab tak
shuaen barf par larzan rahengi
na dhire jam nahin paenge jab tak
charaghon ki lawen raqsan rahengi
bashar ki apni hi taqdir se jang
yahi asl-e-usul-e-zindagi hai
agar hai jazba-e-tamir zinda
to phir kis chiz ki hum mein kami hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 70)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.