agar main chiKHun
agar maiñ chīḳhūñ
maiñ apne dil kī tamām gahrā.iyoñ se chīḳhūñ
to kā.enātī nizām meñ kyā ḳhalal paḌegā
yahī ki
andhe kueñ se ik bāz-gasht hogī
kahegī kyuuñ tum ko kyā huā hai?
tumhī baḌe aa.e ho kahīñ ke
ye āsmān o zamīñ
ye sūraj ye chāñd taare
tamām maañ baap saare ajdād
shahr ke sab sharīf-zāde
inheñ bhī dekho
ye sab musībat-zada, matānat se
burd-bārī meñ sah rahe haiñ
tumhī meñ bardāsht kī kamī hai
agar maiñ chīḳhūñ to
merī āvāz bhī malāmat karegī mujh ko
vo sab kaheñge
ki kaun ye shor kar rahā hai
hamārī nīndeñ uchāT kar diiñ
agar maiñ chīḳhūñ
to saarā amn-o-sukūn
nazm aur nasq
mujh ko ḳhilāf-e-qanūn dushman-e-ḳhalq kah kar
salīb degā
magar ye chīḳhoñ-bharā huā dil
kisī bhī lamhe
mujhe kahīñ ḳhaufnāk rāhoñ pe Daal degā
salāh degā
ki zor se cīḳho
ki jism ke saath
ruuh bhī sard ho ga.ī phir
to kyā karoge
agar main chiKHun
main apne dil ki tamam gahraiyon se chiKHun
to kaenati nizam mein kya KHalal paDega
yahi ki
andhe kuen se ek baz-gasht hogi
kahegi kyun tum ko kya hua hai?
tumhi baDe aae ho kahin ke
ye aasman o zamin
ye suraj ye chand tare
tamam man bap sare ajdad
shahr ke sab sharif-zade
inhen bhi dekho
ye sab musibat-zada, matanat se
burd-bari mein sah rahe hain
tumhi mein bardasht ki kami hai
agar main chiKHun to
meri aawaz bhi malamat karegi mujh ko
wo sab kahenge
ki kaun ye shor kar raha hai
hamari ninden uchaT kar din
agar main chiKHun
to sara amn-o-sukun
nazm aur nasq
mujh ko KHilaf-e-qanun dushman-e-KHalq kah kar
salib dega
magar ye chiKHon-bhara hua dil
kisi bhi lamhe
mujhe kahin KHaufnak rahon pe Dal dega
salah dega
ki zor se ciKHo
ki jism ke sath
ruh bhi sard ho gai phir
to kya karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.