agar mujhe ye guman bhi ho
agar mujhe ye gumān bhī ho
ki ḳhvāb meñ maiñ na dekh pā.ūñgā
terā chehra gudāz bāñheñ udaas āñkheñ
mire laboñ ko talāsh karte hue tire lab
qasam hai mujh ko guzartī naddī ke pāniyoñ kī
maiñ apnī nīñdeñ jalā ke rakh duuñ
agar mujhe ye yaqīn bhī ho
ki sabz patte havā kī aahaT na sun sakeñge
gulāb mausam barastī bārish na sah sakegā
chamaktī shāḳhoñ pe ik shagūfa na rah sakegā
to phir bhī maiñ terā naam le kar
tarastī āñkhoñ ko band kar luuñ
ki niiñd aa.e to maiñ tire ḳhvāb dekh pā.ūñ
ye ḳhvāhisheñ haiñ ki sang-reze
jo āsmānoñ se mere dil par baras rahe haiñ
ye dhuup hai yā aziyyatoñ kā sarāb-e-dozaḳh
ye log haiñ yā ḳhalā kī vus.at meñ duur hote hue sitāre
kahāñ gayā niiñd kā parinda
paroñ se lorī sunāne vaalā
vo tere manzar dikhāne vaalā
agar mujhe ye guman bhi ho
ki KHwab mein main na dekh paunga
tera chehra gudaz banhen udas aankhen
mere labon ko talash karte hue tere lab
qasam hai mujh ko guzarti naddi ke paniyon ki
main apni ninden jala ke rakh dun
agar mujhe ye yaqin bhi ho
ki sabz patte hawa ki aahaT na sun sakenge
gulab mausam barasti barish na sah sakega
chamakti shaKHon pe ek shagufa na rah sakega
to phir bhi main tera nam le kar
tarasti aankhon ko band kar lun
ki nind aae to main tere KHwab dekh paun
ye KHwahishen hain ki sang-reze
jo aasmanon se mere dil par baras rahe hain
ye dhup hai ya aziyyaton ka sarab-e-dozaKH
ye log hain ya KHala ki wusat mein dur hote hue sitare
kahan gaya nind ka parinda
paron se lori sunane wala
wo tere manzar dikhane wala
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 293)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.