agar tum bechna chaho
agar tum bechnā chāho
adā.eñ bhī vafā.eñ bhī
hasīñ ḳhvāboñ ke rañgoñ kī ridā.eñ bhī
ye duniyā hai
yahāñ āvāz biktī hai
yahāñ tasvīr biktī hai
yahāñ par harf kī hurmat
yahāñ tahrīr biktī hai
ye bāzār-e-jahāñ ik be-karāñ gahrā samundar hai
yahāñ par kashtiyāñ sāhil pe aa kar Duub jaatī haiñ
musāfir mar bhī jaate haiñ
magar raunaq nahīñ jaatī
ye insānoñ kā jañgal hai
aur is jañgal kā samāñ har vaqt rahtā hai
agar tum bechnā chāho
adā.eñ bhī vafā.eñ bhī
hasīñ ḳhvāboñ ke rañgoñ kī ridā.eñ bhī
mire dil meñ bhī ik bāzār sajtā hai
jahāñ par shaam hote hī hujūm-e-yās hotā hai ġhamoñ kī bhiiḌ lagtī hai
ka.ī yūsuf sar-e-bāzār bikte haiñ agar tum bechnā chāho
agar tum bechna chaho
adaen bhi wafaen bhi
hasin KHwabon ke rangon ki ridaen bhi
ye duniya hai
yahan aawaz bikti hai
yahan taswir bikti hai
yahan par harf ki hurmat
yahan tahrir bikti hai
ye bazar-e-jahan ek be-karan gahra samundar hai
yahan par kashtiyan sahil pe aa kar Dub jati hain
musafir mar bhi jate hain
magar raunaq nahin jati
ye insanon ka jangal hai
aur is jangal ka saman har waqt rahta hai
agar tum bechna chaho
adaen bhi wafaen bhi
hasin KHwabon ke rangon ki ridaen bhi
mere dil mein bhi ek bazar sajta hai
jahan par sham hote hi hujum-e-yas hota hai ghamon ki bhiD lagti hai
kai yusuf sar-e-bazar bikte hain agar tum bechna chaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.