agar tu muaf karne ka hausla rakhta hai to sun
agar tu muaf karne ka hausla rakhta hai to sun
Maryam Tasleem Kiyani
MORE BYMaryam Tasleem Kiyani
duniyā banāne vaale sun
merā dil munāfiqat meñ nahīñ lag rahā hai
sun
maiñ jhuuT kī fazā
se uub chukī huuñ
sun
mujhe halāk kar de
mujhe tahas-nahas kar de
mujhe zalzale meñ dafn kar de
sailābī rele meñ bahā de
bam dhamāke se uḌā de
havā.ī firing meñ maar de
heart-attack meñ merī jaan le le
yā aur kisī mohlik bīmārī se maar Daal mujhe
mujhe is azaab se nikāl de bas
terī duniyā maiñ dhoke fareb aur ilzām kyuuñ haiñ
maiñ haq par huuñ to
maiñ mujrim kyuuñ huuñ
maiñ sachchī huuñ to burī kyuuñ huuñ
sun le ek baar tū hī merī
merī to aur koī suntā hī nahīñ hai
suntā hai to samajhtā hī nahīñ hai
sun
maiñ ab chup honā chāhtī huuñ yā phir
zor zor se chīḳhnā chāhtī huuñ
magar mujhe terī duniyā vaale
ye donoñ kaam nahīñ karne dete haiñ
vo kahte haiñ ki bolo to un kī marzī kā bolo
vo kahte haiñ ki apnī āvāz dhīmī rakh ke bolo
sun
agar tū muaaf karne kā hausla rakhtā hai to sun
terī banā.ī huī duniyā mujhe raas nahīñ aa.ī
duniya banane wale sun
mera dil munafiqat mein nahin lag raha hai
sun
main jhuT ki faza
se ub chuki hun
sun
mujhe halak kar de
mujhe tahas-nahas kar de
mujhe zalzale mein dafn kar de
sailabi rele mein baha de
bam dhamake se uDa de
hawai firing mein mar de
heart-attack mein meri jaan le le
ya aur kisi mohlik bimari se mar Dal mujhe
mujhe is azab se nikal de bas
teri duniya main dhoke fareb aur ilzam kyun hain
main haq par hun to
main mujrim kyun hun
main sachchi hun to buri kyun hun
sun le ek bar tu hi meri
meri to aur koi sunta hi nahin hai
sunta hai to samajhta hi nahin hai
sun
main ab chup hona chahti hun ya phir
zor zor se chiKHna chahti hun
magar mujhe teri duniya wale
ye donon kaam nahin karne dete hain
wo kahte hain ki bolo to un ki marzi ka bolo
wo kahte hain ki apni aawaz dhimi rakh ke bolo
sun
agar tu muaf karne ka hausla rakhta hai to sun
teri banai hui duniya mujhe ras nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.