agla safar tawil nahin
vo din bhī aa.e haiñ us kī siyāh zulfoñ meñ
kapās khilne lagī hai, jhalaktī chāñdī ke
kashīda taar chamakne lage haiñ bāloñ meñ
vo din bhī aa.e haiñ surḳh o sapīd gāloñ meñ
dhanak kā khelnā mamnu,a hai, laboñ pe faqat
guloñ kī tāzgī ik sāya-e-gurezāñ hai
vo bhī din aa.e haiñ us ke sabīh chehre par
kahīñ kahīñ koī silvaT ubhar sī aa.ī hai
zarā sī muzmahil thoḌī thakī thakī sī nazar
talāsh kartī hai umr-e-gurez pā ke nuqūsh
use bhī lagtā to hogā ki maiñ vahī huuñ, magar
ḳhizāñ-gazīda thakā sā udaas ranjīda
use bhī lagtā to hogā ki ham vahī haiñ magar
dil o dimāġh kī bāham supurdagī ke din
na jaane umr ke kis marhale pe chhūT ga.e
maiñ chāhtā huuñ kabhī baat kar ke dekhūñ to
kahūñ ki jism to ik ārizī haqīqat hai
kahūñ darūn-e-dil-o-jāñ jo ek aalam hai
vahāñ to vaqt kā ehsās tak nahīñ hotā
kahūñ ki umr se shikva, gila javānī hai
laboñ pe harf-e-shikāyat diloñ meñ talḳhī sī
aliil jazbe haiñ un se hamārā kyā rishta?
kahūñ ki aaj bhī sub.h-e-shab-e-visāl ke gul
hamārī ruuh meñ khilte haiñ, aao saath chaleñ
pakaḌ ke haath ki aglā safar tavīl nahīñ!
wo din bhi aae hain us ki siyah zulfon mein
kapas khilne lagi hai, jhalakti chandi ke
kashida tar chamakne lage hain baalon mein
wo din bhi aae hain surKH o sapid galon mein
dhanak ka khelna mamnu,a hai, labon pe faqat
gulon ki tazgi ek saya-e-gurezan hai
wo bhi din aae hain us ke sabih chehre par
kahin kahin koi silwaT ubhar si aai hai
zara si muzmahil thoDi thaki thaki si nazar
talash karti hai umr-e-gurez pa ke nuqush
use bhi lagta to hoga ki main wahi hun, magar
KHizan-gazida thaka sa udas ranjida
use bhi lagta to hoga ki hum wahi hain magar
dil o dimagh ki baham supurdagi ke din
na jaane umr ke kis marhale pe chhuT gae
main chahta hun kabhi baat kar ke dekhun to
kahun ki jism to ek aarizi haqiqat hai
kahun darun-e-dil-o-jaan jo ek aalam hai
wahan to waqt ka ehsas tak nahin hota
kahun ki umr se shikwa, gila jawani hai
labon pe harf-e-shikayat dilon mein talKHi si
alil jazbe hain un se hamara kya rishta?
kahun ki aaj bhi subh-e-shab-e-visal ke gul
hamari ruh mein khilte hain, aao sath chalen
pakaD ke hath ki agla safar tawil nahin!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.