agle janam mohe biTiya hi kijo
mirī biTiyā
tujhe bhī maiñ ne janmā thā usī dukh se
ki jis dukh se tire bhaa.ī ko janmā
tujhe bhī maiñ ne apne tan se vābasta rakhā
utnī hī muddat tak
ki jab tak tere bhaa.ī ko
mire tan ke har ik dukh sukh meñ tum donoñ kā hissa
ek jaisā mādar-e-fitrat ne rakhā thā
magar tū jis ghaḌī dhartī pe aa.ī
virāsat bāñTne vāloñ ne apnā faisla likhā
tujhe mujh se shikāyat hai
ki maiñ ne pyaar kī taqsīm meñ tafrīq bartī hai
khilaune aur aañsū kā jo baTvārā huā aksar
tire hisse meñ aañsū aa.e haiñ pyārī
tujhe ye jaan kar hairat to hogī
mire hisse kā aksar tar nivāla bhā.iyoñ hī ko milā kartā
magar maañ se koī kaise gila kartā
mirī jaañ rizq kī taqsīm meñ
tafrīq kā qānūn to sadiyoñ purānā hai
virāsat bāñTne vāloñ ne jo bhī faisla likhā
use ham ne bajā samjhā bajā likhā
hamārā alamiya ye hai
ki apnī raah kī dīvār ham ḳhud haiñ
ye aurat hai
ki jo aurat ke haq meñ ab bhī gūñgī hai
ye aurat hai
ki jo aurat kī ummīdoñ kī qātil hai
to kyā tārīḳh ḳhud ko yūñhī dohrātī rahegī
nahīñ aisā nahīñ hogā
ye terī jur.at-e-iz.hār ye biphrā huā lahja
yaqīñ mujh ko dilāte haiñ
tirī beTī ko ye shikva nahīñ hogā
meri biTiya
tujhe bhi main ne janma tha usi dukh se
ki jis dukh se tere bhai ko janma
tujhe bhi main ne apne tan se wabasta rakha
utni hi muddat tak
ki jab tak tere bhai ko
mere tan ke har ek dukh sukh mein tum donon ka hissa
ek jaisa madar-e-fitrat ne rakha tha
magar tu jis ghaDi dharti pe aai
wirasat banTne walon ne apna faisla likha
tujhe mujh se shikayat hai
ki main ne pyar ki taqsim mein tafriq barti hai
khilaune aur aansu ka jo baTwara hua aksar
tere hisse mein aansu aae hain pyari
tujhe ye jaan kar hairat to hogi
mere hisse ka aksar tar niwala bhaiyon hi ko mila karta
magar man se koi kaise gila karta
meri jaan rizq ki taqsim mein
tafriq ka qanun to sadiyon purana hai
wirasat banTne walon ne jo bhi faisla likha
use hum ne baja samjha baja likha
hamara alamiya ye hai
ki apni rah ki diwar hum KHud hain
ye aurat hai
ki jo aurat ke haq mein ab bhi gungi hai
ye aurat hai
ki jo aurat ki ummidon ki qatil hai
to kya tariKH KHud ko yunhi dohraati rahegi
nahin aisa nahin hoga
ye teri jurat-e-izhaar ye biphra hua lahja
yaqin mujh ko dilate hain
teri beTi ko ye shikwa nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.