agle lamhe ka KHauf
is jangal ke chāroñ jānib
aag kī ūñchī dīvāreñ haiñ
is ke ghane ghane peḌoñ meñ
ik bahut purānā taal chhupā hai
jis kā paanī sadiyoñ ke raste jitnā gahrā hai
vo machhlī is meñ rahtī hai
jis ke peT meñ jaadū kā vo mankā hai
jo har jaadū kā toḌ banā hai
jangal ke sab chup chup raste
jhāḌī jhāḌī ghūm-ghām ke
taal kī jānib aate aate rah jaate haiñ
jaise haath an-jānā koī
unglī pakaḌ ke
aur hī jānib un sab ko le jaatā hai
peḌoñ kī shāḳhoñ par baiThe
patthar ke vo saare parinde
taal kī jānib aane vaale har raahī ko
apne paas bulāte haiñ
aur gahrī niiñd sulāne vaale
mīThe giit sunāte haiñ
yā loT-poT kar
us kī soch kī shakleñ ban kar
us ko gale lagāte haiñ
tab is lamhe meñ
jhāḌī jhāḌī dubke dubke ḳhargoshoñ ko
aur ik sāthī mil jaatā hai
ye sab kuchh hai
par phir bhī jaane
maze maze se tairtī machhlī
patte ke girne kī sadā se
yā phir havā kī aahaT se hī
ThiThak ThiThak kyoñ jaatī hai
is jangal ke chaaron jaanib
aag ki unchi diwaren hain
is ke ghane ghane peDon mein
ek bahut purana tal chhupa hai
jis ka pani sadiyon ke raste jitna gahra hai
wo machhli is mein rahti hai
jis ke peT mein jadu ka wo manka hai
jo har jadu ka toD bana hai
jangal ke sab chup chup raste
jhaDi jhaDi ghum-gham ke
tal ki jaanib aate aate rah jate hain
jaise hath an-jaana koi
ungli pakaD ke
aur hi jaanib un sab ko le jata hai
peDon ki shaKHon par baiThe
patthar ke wo sare parinde
tal ki jaanib aane wale har rahi ko
apne pas bulate hain
aur gahri nind sulane wale
miThe git sunate hain
ya loT-poT kar
us ki soch ki shaklen ban kar
us ko gale lagate hain
tab is lamhe mein
jhaDi jhaDi dubke dubke KHargoshon ko
aur ek sathi mil jata hai
ye sab kuchh hai
par phir bhi jaane
maze maze se tairti machhli
patte ke girne ki sada se
ya phir hawa ki aahaT se hi
ThiThak ThiThak kyon jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.